Posts

Showing posts from June, 2013

Kuch dur kaheen koi aahat si

Image
Kuch dur kaheen koi aahat si Nazar aati hai parchayee si Asmanjas aur vidambana si Kabhi saans ke thamne si To saans ke jhat chalne si Kaale badalon ke ghirne si To barasane ki dhamki si Ek gumraah karne ki chaal si Manhus waqt ke saajish si Mere peeche woh ghumti si Kisi bhavandar mein phisalne si Ehasaas na sirf ehasaas si Zindagi se juda hui si Ek woh pal bhi aaya Jab meine use juda kar diya Haan! aise meri mrityu si Meine seene se laga liya ~ fiza Translation may not bring the essence however... :) A noise from far somewhere  looks like a shadow looks like dilemma and confusion sometimes as if breath is stopping at times it feels as if breathing like how the black clouds have covered  or as if about to rain  as if a game plan to misguide me a game plan to create a bad time as if running behind me as if slipping into a whirlpool feelings are not mere feelings as though parting with life t...

Dil jalta hai kyun sochkar kisi ki aahon ko

Image
Dil jalta hai kyun sochkar kisi ki aahon ko Kya jo mera hai woh mera nahi, jo fikr ho? Mohabbat to meri hai wafa yehi kehati hai jo Phir kisi aur ke haathon na phisal jaaye vo? Sochti hun pyaar jab uska ek ho jaati hun to Bhulkar sab shikve-gile toot ti hun pyar se jo Sautan aajatein hein khayaal phir manmaani vo Til-mila jaata hai kaheen mujhe to na bhule ho? Barson ka pyaar hai saath hai ke likh pade ho Phir dil kyun aaj bhi ghabaraye huye se ho? Kis tarah sabse juda kar le chalun apne saaye ko Aisa sochkar bhi dar lagta hai iss shayara ko Jo mera hai wohi lautkar paas aaya hai to Baharon ke mausam 'fiza' ko barkarar rakhein to!! ~ fiza

Kis kadar marte hein tum per ab jaana!

Image
Tujh se juda hokar humne pyaar jaana Kis kadar marte hein tum per ab jaana! Paas hote ho to sab accha hai yehi jaana Duriyon se virah ki jalan ko ab pehachana Kaise kaatein ye palchin ye batao jaana Purane dino ko sochkar dil ka bhar aana Ashru bahe dekh un tasveeron ko jaana Pal - pal yaad aaye beete dino ko maana Khush thi 'fiza' jab tum mile beech raah jaana Bas laut te waqt unheen dino ko sath le laana ~ fiza

Mujhe kaheen aur dastakh dena hai lekar pemaane!!

Image
Kuch fasile bane aur kuch khud bune Accha yehi hai jo bhi bane khud bune Fasilon ka bhi kya khub hai jo jaane Kab kis tarah fasilon se anjane bane Bhul gaye taiy kiya hua rasta kaise jaane Duriyan dekh samjhe ajnabi jaane-pehachane Ek roz milenge kabhi phir nazdik kab jaane Tab yaad gar kuch aaye to lage pehachaane To salaam - dua karna na bhulna begaane Waqt ho chala hai bahut yahan mere parwane             Mujhe kaheen aur dastakh dena hai lekar pemaane!!! ~ fiza For those friends who like to read my poetry but don't understand the language here is a bit of it's taste in English: Few distances came in and few were made in It's good that whatever happened it happened by itself What to say about the distances also, those who know When one didn't realize about the distances How did one forget the distances that were made Distances are telling now how known became stranger one day will me...