Posts

Showing posts from 2013

Chipa tera aks mehtab hai khila dil mein

Image
Sard raaton mein kaale badalon mein Chipa tera aks mehtab hai khila dil mein Saanson ki dhak-dhak pareshaan raaton mein Pehachaane chehare housla bhare dil mein Woh pal jo na guzra rahoon intezaar mein Uske jaate hee fikar chumne lage zameen mein Bankar thi ajnabi magar gayee thi gulistaan mein Do-chaar phul the utha layee unhein dil mein Nikalkar jab nazar padi aasman mein Dekh chand pighal gayee mohabbat dil mein Jo guzar gayee woh sama bandha dil mein 'fiza' mehasus kare mustaqbil intezaar mein ~ fiza

Khush hai ‘fiza’ ab har pal mausam ki chamak mein

Image
Har saal ki tarah ye saal bhi jaane wala hai Kaheen ek khushi hai jo naya saal dene wala hai! Iss saal ne kuch kam nahi diya khushi mujhe Har ek pal ko zindadili se jiya hai meine! Jaise –jaise saal beete waise-waise dost hain meine jeete Umr ka to pata nahi, magar dost umr se bhi hai jyada mere Khushiyon ke rang bhi kabhi gine jaate hein bhala? Dost to dost umr bhi bhala sharma gaye hain ab to! Mein na kehati hun, saal ko aane aur jaane do bas Rukna nahi iski ginti ki jhunjhalahat mein kabhi Zindagi hai ek safar jiska naam hai chalte rehana Dil aa bhi gaya kabhi to naam na lo yahan theharna Har pal ko jee lo akhari samajhkar mere yaar Zindagi khud tumhare sang jhumne ko rahegi bekaraar Khush hai ‘fiza’ ab har pal mausam ki chamak mein Jaan jo gayee jeena hai to sirf issi ek pal mein !!! ~ fiza

Zamin pe rehakar aasman ke chand se ki hai mohabbat

Image
Zamin pe rehakar aasman ke chand se ki hai mohabbat Dekh ye geharayee iski duri mein ya meri mohabbat Dur se koson baith dekhta hai sabhi ko, meri mohabbat Kya jaane kisi ek se karna kya hota hai mohabbat Zhilmil sitaron sang ankhmicholi dur yahan mohabbat Kabhi khayaal aaya dekh aayein apni mohabbat? Man he man khush hote ho dekh tarasati mohabbat Tum bhi kya yaad karoge humse hee hui hai mohabbat Deep jalkar bhujh jati hai so hai patange ki bhi mohabbat Mein tab tak takhti hun ‘ae Chand’ jab tak na ho rubaroo mohabbat Kayee sune aur dekhe honge opar se tune mohabbat Ek he hai ‘fiza’ jo kayal aur kabil hai teri mohabbat ;) ~ fiza

Kaati hai ulfat mein yun zindagani...

Image
Kaati hai ulfat mein yun zindagani Har shaks nasihat de samajh nadani Khaomshi se kaat rahe zindagi ka charkha Na jaane kyun log kaath rahe sooth apna Har koi eham ka pala-badha akkal se Sochne ka waqt raha ab kisko-kis se Hoti hai yun bhi ulfat ke afsaane Pyaar se do lafz keha lo lage uktaane Ganimat hai samajhta nahi uske tevar Tum nahi badloge yehi socha der-saver Waqt aagaya hai ‘fiza’ kamar kaslene ka Ek aur baar sahi sarfaroshi ki tammana ka ~ fiza

Mere housle ki neeV tum ho

Image
Shyam ki godhuli mein Jab man anayas ghabaraye Tum hamesha nazar aaye! Andhere ki chadar dheere Jab odhe parbaton ko tab Tum hamesha nazar aaye! Nisha ki god mein jab ravi aaye Kaheen dur ose mera man khoje Tab tab tum hamesha nazar aaye! Har andhkar ke bad usha aaye Har nirasaha ke baad asha laaye Tum hamesha nazar aaye! Mere housle ki neeV tum ho Meri mohabbat ki justaju tum ho Har mausam ki khushbu tum ho Tabhi to har pal, har din dil mein Tum he hamesha nazar aaye!! ~ fiza

Sun raha hai na tu...!

Image
Sun raha hai na tu Kis tarah tarasaye mujhe tu Khush hun sath hai mere tu Dur se de raha sahara tu Ji loongi mein is aasare he Khil raha hai yun aasman pe tu Besabar kar raha hai tu Khamoshi mein bhi magar tu Dil khila raha hai tu Becheniyan barha gaya hai tu Intezaar rehata hai harsu Sun raha hai na tu! ~ fiza

Eid Mubarak Doston...

Image
Roz hain takhti aankhein ose Roz dil ki baatein hoti hain Dur se hee woh dekhe humein Badalon se to kabhi darakhton se Nazaron ke nazaron se hee milte Ho jaati hain eid hamari Amavas ke kathin rozon ke baad Dil ko ek raah mil jaati hai deed per Jab chahain hum EID mana lain, Chaand hamara apna hai Nikhar aajati hai har taraf 'fiza' Deed jab mere chaand ki hoti hai! ~ fiza

Us muquam tak aa khari hoon...!

Image
Is muquam per aa khari hoon Har baat ghalat hee kyun lagta hai! Jise bhi chaha dil se kambakht! Usi se iljaam bewafayee ka milta hai! Us roz ka intezaar khud ko bhi Jab kisi roz jaan humein leta hai! Jab tak woh jaan lein waqt-be-waqt Saans bewafa ho nikale hai! Sirf itna hee kasoor tha dilbar Chaha tootkar use jo bhul jata hai! Us muquam tak aa khari hoon Jahan har baat 'fiza' ghalat hee karti hai!!! ~ fiza

Kuch dur kaheen koi aahat si

Image
Kuch dur kaheen koi aahat si Nazar aati hai parchayee si Asmanjas aur vidambana si Kabhi saans ke thamne si To saans ke jhat chalne si Kaale badalon ke ghirne si To barasane ki dhamki si Ek gumraah karne ki chaal si Manhus waqt ke saajish si Mere peeche woh ghumti si Kisi bhavandar mein phisalne si Ehasaas na sirf ehasaas si Zindagi se juda hui si Ek woh pal bhi aaya Jab meine use juda kar diya Haan! aise meri mrityu si Meine seene se laga liya ~ fiza Translation may not bring the essence however... :) A noise from far somewhere  looks like a shadow looks like dilemma and confusion sometimes as if breath is stopping at times it feels as if breathing like how the black clouds have covered  or as if about to rain  as if a game plan to misguide me a game plan to create a bad time as if running behind me as if slipping into a whirlpool feelings are not mere feelings as though parting with life t...

Dil jalta hai kyun sochkar kisi ki aahon ko

Image
Dil jalta hai kyun sochkar kisi ki aahon ko Kya jo mera hai woh mera nahi, jo fikr ho? Mohabbat to meri hai wafa yehi kehati hai jo Phir kisi aur ke haathon na phisal jaaye vo? Sochti hun pyaar jab uska ek ho jaati hun to Bhulkar sab shikve-gile toot ti hun pyar se jo Sautan aajatein hein khayaal phir manmaani vo Til-mila jaata hai kaheen mujhe to na bhule ho? Barson ka pyaar hai saath hai ke likh pade ho Phir dil kyun aaj bhi ghabaraye huye se ho? Kis tarah sabse juda kar le chalun apne saaye ko Aisa sochkar bhi dar lagta hai iss shayara ko Jo mera hai wohi lautkar paas aaya hai to Baharon ke mausam 'fiza' ko barkarar rakhein to!! ~ fiza

Kis kadar marte hein tum per ab jaana!

Image
Tujh se juda hokar humne pyaar jaana Kis kadar marte hein tum per ab jaana! Paas hote ho to sab accha hai yehi jaana Duriyon se virah ki jalan ko ab pehachana Kaise kaatein ye palchin ye batao jaana Purane dino ko sochkar dil ka bhar aana Ashru bahe dekh un tasveeron ko jaana Pal - pal yaad aaye beete dino ko maana Khush thi 'fiza' jab tum mile beech raah jaana Bas laut te waqt unheen dino ko sath le laana ~ fiza

Mujhe kaheen aur dastakh dena hai lekar pemaane!!

Image
Kuch fasile bane aur kuch khud bune Accha yehi hai jo bhi bane khud bune Fasilon ka bhi kya khub hai jo jaane Kab kis tarah fasilon se anjane bane Bhul gaye taiy kiya hua rasta kaise jaane Duriyan dekh samjhe ajnabi jaane-pehachane Ek roz milenge kabhi phir nazdik kab jaane Tab yaad gar kuch aaye to lage pehachaane To salaam - dua karna na bhulna begaane Waqt ho chala hai bahut yahan mere parwane             Mujhe kaheen aur dastakh dena hai lekar pemaane!!! ~ fiza For those friends who like to read my poetry but don't understand the language here is a bit of it's taste in English: Few distances came in and few were made in It's good that whatever happened it happened by itself What to say about the distances also, those who know When one didn't realize about the distances How did one forget the distances that were made Distances are telling now how known became stranger one day will me...

Zindagi aaj zindagi se mila aayee humein...

Image
Zindagi aaj zindagi se mila aayee humein Ab tak jiye woh khawabon mein jeete aaye Nanha bachpan jisne na chorha humein Aaj tak sath nibha raha sang leke jiye Ek gharonde sa sajake rakha dil mein humein Woh aam, gili-danda khelte haste na samaye Dost ghuma laaye un galiyon mein humein Jahan barson humne rehakar bachpan bitaye Sath kisi ka rahe na rahe housla hai humein Rasta-rasta liye har pal bachpan ke woh diye Jee rahe wohi bachpan aaj sang liye humein Bachpan se hee hum bachpan mein hee rahe Mein khush hoon 'fiza' jannat naseeb hui humein Sabhi se milkar dil saaz-e-bahar khusbu bikharaye ~ fiza

Kab, kaise is seep mein moti ban gayi

Image
Rishte banakar kabhi judi nahi Rishton mein azaad rehakar khush rahi Gham se rishta yun jud gaya mera Kabhi kisi ke pyar ki arzoo na rahi Kab, kaise is seep mein moti ban gayi Aaj apnon se dur, tilmila main rahi Kab rishton ki god mein yun so gayi Kisi ke pyaar mein khushbu see reha gayi Ab azaad rehane ki jigyasa he na rahi Main khush hun ke seep mein reha gayi Rishton ke bandhan ke sukh ko samajh gayi Chand ki khamoshi mein pyar ki geharayi nap payi ~ fiza

Ae, Chand tuhee mera rehaguzar....

Image
Tera akelapan aur teri lachari dekhkar Tujhe dil se chaaha teri sadgi dekhkar Teri shanth abhivyakti ko dekhkar Sametna chaaha bahon mein lekar Mujhe kisi ki surat nahi aayee nazar Ae, Chand tuhee mera rehaguzar Log aayenge jaayenge yahan magar Tere jaisa na hoga wafadar koi magar Duniya havas ki hai hardum shikaar Tere sanidhya mein hai mera ikraar Khush hun, dekh saki aankhein kholkar Saccha pyaar hai chaand mein beshumaar ~ fiza English Translation Version of the above Poem On request from my Non-Hindi friends ...this is for YOU Looking at your loneliness and helplessness  Liked you for your simplicity Looking at your calmness Felt like embracing you I didn't see anyone's face in you Oh, moon you are my companion People will come and go here, still.. No one will be faithful like you People are bitten by the greed But I like to be in your shelter Am happy that i could see this with my open eyes As there is ...

Aaj mein yehi kehana chahoon

Image
Aaj mein yehi kehana chahoon Ke tere dil mein nichodkar mera lahoo Kar de iss qadr laal honthon sa Jo na tu tu rahe na mein mein rahoon Bas lahoo ke rang ki tarah aaj mein tujh se mil jaaoon ~ fiza

Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein

Image
Sehar se shyam bandhein Shyam se sehar kasam mein Yehi rehaguzar  tamanna mein Chand aur sehar doobe rahein Boondein woh kan-kan mein Samaye aise mere zehan mein Jaise ankuriya phute jiyara mein Bhige raste, bhiga aanchal mora Simate huye armaan bhiga chehara Tarasta hua rahi pyasa man bhaya Choomkar pyaas bhujaye kanwara Kam na kare nazaron ke teer maarna Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein Jahan kaale badal kare puhaar Machal jaye mora nadaan jiyara Apni dhunki mein rahe woh is pal Jee le tu phir kab kisne dekha kal ~ fiza

Zindagi Ke Kareeb Hoon Aise!

Image
Dil nasaaz sa raha kuch din  Bujha-bujha sa ojhal mann Badalon se dhaka aasmaan Waheen, kaheen chipa chaand  Nis din mein karun uska intezar  Kabhi to bujhegi milan ki pyaas Udasiyon mein dooba mann Rangon se bhara ye mausam Berang sa phir kyun lage chaman? Soch mein duboon mein nisdin Phulon ki bahaar har taraf Panchiyon ki cheha-chehahat Barish ki girti tap-tap boondein Paas humein le aaye aise Jaise phir kab milungi us se Dekh aankhbhar samaya mujh mein Uski bahon mein nisaar ho shaam jaise Thaki -haari phir bhi zindagi ke kareeb hoon aise! ~ fiza

Ab kaise ye bawari ja mile apne chand se?

Image
Simti hai hawa jaise baadal mere chand se Kab mein nikal paaongi milne us chand se Rukawatein kayi hain milne mein chand se Muqable badha rahe becheniyan chand se Milan ki ghadi khayalon mein khele chand se Sehar se shyam musruf rahoon sirf chand se Kaise kahoon kya-kya na kahoon chand se Koi le jaye sandesha keha aao chand se Koi bawari kehati hai mohabbat hai chand se Ab kaise ye bawari ja mile apne chand se? Kisi bahane ka intezaar hai miloon chand se ~ fiza

Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha

Image
Mehakta sa ek khwab hai Muskurati hui subha Sochne per deewana kare Aur jagaye nayi asha  Aankhon se baatein karna Zubaan se na kuch kaha Samjhne wale per beete so beete Achambhit ye dil hua Be-maut he mara gaya dil bechara, Kab ye kahan hua? Uske pyaar mein awaz nahi hoti Magar dil tak ja chubha Milkar us se mein gair hui Usiki bahon mein jaise sab khoya Us se dur rehakar bhi Uske khayalon mein jaise bani shobha Khud ko luta aayee uski bahon mein Chand lamha he hua Uske tan ki khushbu saanson mein Ab bhi hai mehaka hua Dur rehakar na chen aaye, Kaisa hai kambhakht jiya Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha ~ fiza

sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!

Image
Kisi se dil lag gaya is tarah, ek rog ho gaya jaise! Kisi haal mein na hoye ilaaz iska, ab kaise jiyein aise? Shoq nazar, aur shararti hansi uski sthir karte hein aise barf mein jama hua koi panv, nikalne ko bechen ho jaise! Chune ko use dil hamesha tarase, par hathash hai dil aise sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise! Kitni der jakadun main apne aapko, dur rehakar usse Milan ki aas aur phir uski pyas, barkaraar aise! jab sayyam ka bandh toota to, tufan sa takraya jaise Phir jo dhul-mithi ki tarah ghule, na fark kar sake aise! Pyar ke is bandhan mein, murat jaise bandhe hum aise Har koi dekhe to kahe - Kanha-Radha ka milan ho jaise!! ~ fiza