Beete na bitaye lambe ye din
Un bin kaheen lage na jiya mera
Dur jaane ki khabar se hee tadap
utha
Virah ke din kis haal mein beetega
Roj na mile mere bairan nain unse
Phir bhi khush tha ye mann dur se
Jab se jaane ki khabar suni hai unse
Bechen ye mann rehane laga tabse
Jaise-taise kaate pal virah ke
kuch din
Jhum otha mann sunkar khabar aane
ki
Rok na sakoon ehasaason ko aaj
mein
Kisi tarah unse ho mulaquat aaj meri
Shayad mai na rahoon kaboo mein
Chod laj-sharam jaise sautan mere
Seene se lagke kehadoon jasbaat
mere
Ho na ho mein hoon deewani
tumhari
Kuch na maangoo tumse aaj bas
itna
Jab bhi jaana apne sang le jana mujhe
Kat jayenge raste haste khelte yunhee
Zindagi ke pal hote hee hain kam kitne
Jo virah mein bita doge dur
rehakar
To hum jiyenge sang kab dono
milkar?
~fiza
No comments:
Post a Comment