Dil mein chipa ke rakha hai meine pyaar
Ise zahir na karoon mein yehi hai ikraar
Ise zahir na karoon mein yehi hai ikraar
Kisi ko mujh se ho na ho koi pyaar
Mujhe sab manzoor hai use ho inkaar
Har ghadi sochna kaisa hai ye pyaar
Khudgarz hona bhi pyaar mein hai bekaar
Dil maanega nahi kambakht karta hai pyaar
Hardum sirf chaahta hai osi per hai aitbaar
Dhadkane tez hoti hain jab milte ho harbaar
Karke mujhe khwabon mein ghum hote ho faraar
Dil phir bhi angadayee leta hai khatm ho intezaar
Kab dil kholkar kahoge mein hoon tumhara raazdaar
Ye bhi kya haseen jabardasti hai 'fiza' mere yaar
Dil khol diya aur poochte ho, kyun hai mujh se itna pyaar?
~fiza
2 comments:
hello , fiza , how r you .
did you remember me ?
you used to come on my blog [ poemsofvijay.blogspot.in ]
how are you . how is family.
this gazal is giving very emotional feelings . har sher apne aap me kuch kah raha hia ..
Thank you Vijay ji for taking time and reading this poem.. appreciate your comments :) I will visit your blog for sure...hope all is well
Cheers,
fiza
Post a Comment