Posts

Showing posts from March, 2011

Bhigi bhigi raaton mein

Image
Aajkal kaale kaale badal jahan ghire rehate hein har dam maano kisi ko apne aalingan se chipa rahe hon aur to aur barish ki boondein dil ke armaano ki baarish iss tarah karte hein ke jungle mein bhi morr naachne hee lagta hai...phir ye pagal mann kyun na naache aur kyun na behake ;-) Bhigi bhigi raaton mein Bhigi bhigi baaton mein Jaane kya keha gaye tum Jaane kya sun gayee mein Behalte behalte chali mein Tere pyaar ki galiyon mein Sukhe patton ki bhanti Pyaar ke surur mein Bhigi bhigi raaton mein Bhigi bhigi baaton mein Jaane kaun waqt aaya aur Jaane kaun waqt gaya per Umangon ke saagar mein Gote khata hua ye mann machalta hua ye mera mann tum sang hone ko tang hua Bhigi bhigi raaton mein Bhigi bhigi baateon mein ~ fiza

Kharondti Humein Idhar Oodhar

Image
Zindagi ki parchahiyaan aise Jaise sath koi nikal pade Din badalte rahe lekin Mausam wohi suna suna Kaash ye waqt -be-waqt Phisal jata kisi aur mod Hum bhi jee lete aur Tum bhi jee lete phir Zindagi ki parchahiyaan aise Kyun kharondti humein idhar oodhar Zindagi hai zalim magar Parchayee bhi bane tab Jab sath mein sooraj aaye nazar Warna kaun zindagi aur kya parchayee Ye to matlab ke hain khel JO nazar aaye har din idhar oodhar Kaash na hoti koi bediyaan Zindagi, zindagi na rehakar ban jaati koi kathputliyaan Na hota kisi per hak na jimmedari Jo hota khel rachane wala Wohi majdhar mein bhi sahil bana rehata Na hota afsos kisi se ke kya hua idhar oodhar ~ fiza
First we build the tools, then they build us :-(
Something that put me to think...The impending Singularity in our future is increasingly transforming every institution & aspect of human life, from sexuality to spirituality
Irritability is immaturity of character. If U R subject 2 being cross & unpleasant with others 4 no apparent reason, U need 2 come face-2-face with the fact that U R thinking too much of Urself. After all, Ur feelings R not the most important things in this world
Something tht I read - I am neither bitter nor cynical but I do wish there was less immaturity in political thinking. Franklin D. Roosevelt

Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki

Image
Ghane kaale - kaale badal aaj jab toofaan ke aane ka andesha dene lage to kuch anayaas aise khayaal nazar aane lage...pesh-e-khidmat hai...   Dhundli see hai fiza aaj kaali ghata bhi Tufaan ke aane se pehale ki ye awargii Obal rahe hein ehasaas khamoshi mein Jis tarah bul-bule garajte hein patile mein Hukke ki bod-bod mein dhuaan oodata hua Sukoon de magar jalte tambaku kise deekhe Mom ke pighalne ki kise padi hai ab Jab diya jale roshni kayam rahe tab Leharata nachta patanga lalten per Naachte woh marta hai pyaar per Jalo to Lakadiyon ki bhanti jalo Ke raakh ho jayein  phir bhi kaam aayein Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki Na to woh barasta hai kabhi na badalti hai ghata kaheen ~ fiza