Posts

Showing posts from 2011

Na girne ka bhay na sambhalne ki aas...

Image
Na girne ka bhay na sambhalne ki aas Pighalte huye mann ki hai ye pyaas Udte dur gagan mein dhundte huye Os pal ko qaid karne chali thi mein Hasaas se bhare pal kisi ke choohne se Mann patang ban ke udne lage Wohi pal jahan na udne ka dar na girne ka Sambhaloon to kis ke liye aur kis tarah Ye to ehasaason ki ladi hai buni hui Yehi baandh lenge mujhe iss pal- pal se Phir jee loon os pal ko jo bandhe hein Khol doon os dor ko jo simatein hein Phir ek bar mein girun aasmaan se Jahan girne ki na sud-ho na bachne ki budh Ye woh palchin hein jinhein kisi ne Sanware hain apne bosse se Narm saanson ka chalna aur gale per Marmari hathon se chukar mujhe Paas lekar apni aur ek sparsh sa halka pyaar se bhara woh bossa dekar Le chala os aur jahan se Mein giri bhi aur na sambbhali bhi Os pal ko os shaks ko lekar Apne kar-kamalon se pakadkar Pyaar ke ehasaas jagane wale per Dil ki geharaiyon mein jakar Prem ka woh alaap racha seene mein Maano sangeet ki dhwani naac...

Ek dor see bandhi hai beech...

Image
Rangat os gulab jaise, Gaalon ki khusboo se Aankhon se baatein karna Kajal se bhare naino ka Bolna phir sharma jana Kis ada se woh dur rehati bhi Apni hasi se mujhe paas bulati Aur dil dhadkakar ghum ho jaati Is ghum hone aur milne ke beech Jo fasla mujhe zinda rakhti Osi ke duaon ki hai ye jhalki  Ek dor see bandhi hai beech Jo mujhe khenchti hardam Mein milne ko tarasoon to Woh bahane ko tarase marham Chot sambhal bhi jaaye lekin Milkar juda hote hain humdum Harpal hai ek jeena aur marna Ek sukhad jeevan ki aas hai Bicharna aur yoon milna Oski rangat, meri aankhein Oska hasna aur mera hasana Ek pal ke liye jag ko bhulana Ankahi baatein bayan karna Dil ki dharkan boond jaise Tup-tup-dhum-dhum aise Barsaye pyaar os per jaise Sangam ki shuruwaat phir se   ~ Fiza

Shringar Ras Mein Kaamdev Ka Vyasan

Image
Raat kali chadar odhe Woh singar kare laal jode Mathe per laal chand liye Woh gori ladi zevaron se Hath mein le pyala khadi dur se Rahi ki pyas bujhane waaste Jab jhuki laj se ghungat mein Pyaase ki pyaas aur badhi dil se Woh saaj-singar mein kho gaya Kab oski ankhon ka teer chal gaya Dil ke ghav ko na sehan kar saka Pyaar se karkamlon ko chua osne Bijli see daudi  oske tan-mann mein Laaj-o-sharm se pagal hui deewani Shringar mayee tan-mann se Laaj mein khoyee sud-bud apna Tan se gira aanchal farsh per Honi ko na woh taal saki jaise Jhat se rok liya oos pal ko Asmanjas ke dwand mein sahi Dono aalangit huye parchayee se Shringar ras mein kaamdev ka vyasan Iss chaupaayee ke paatra wohi hain Aalingan se prasanna kaamdev Jab do dilon ka Milan hua Pyaar ke iss nazuk mod per Do shareer ek mein badle Jab oske mathe ka chaand Halka bikhra bistar per mila Safed chadar ki laalima ne Keha daali do dilon ki dastaan Sneha ki b...

Kal Mujhe Bhi Paoge Apne Sang Bagal Mein

Image
Udasiyon ke pal tum mere sang the Meri tanhayeeyon ki aahat tum hee the Meri kamzor palchin ke lafz bankar Awaz se mausagi ko raushan kar Ye tum hee the jo mere sang sang rahe Mujhe buland kar bahaar laye Jeevan mein rang bhar gaye Udas doston se kahi kahanee Meri khushi ke raazdar tum rahe Ye tum hee the jo mere sang sang rahe Jab pehali baar mili thi tumse Sud-bud khoyee bas dekha tumhein Mere sang rahe tasveeron mein Yaadein chor gaye dil ki ravaniyon mein Ye tum hee the jo mere sang sang rahe Aaj tum chale gaye dur kisi dhund mein Chuppa-chuppi ke ye pal dhundne mein Tum se milkar tumhein hee sun ne mein Kal mujhe bhi paoge apne sang bagal mein Aur ‘fiza’ Tab tum rahoge mere sang mein ~ fiza

Jaise Behata Jaye Ye Paani

Image
Kal kal behata hua paani Madhur sangeet bhare mere kaano mein Jaise behata jaye ye paani Waise behala jaye mera mann Oski umangon mein mera tan Machale jaise balkha ke Jaise behata jaye ye paani Waise behala jaye mera mann Dil ki udaan tarango sa jaan Mera tan dole to kabhi mann Jaise behata jaye ye paani Waise behala jaye mera mann Simat gaye band seep samaan Na hosh rahe na aagosh bhare Jaise behata jaye ye paani Waise behala jaye mera mann Na hon judaa is pal, kal behata paani madhur sangeet bhare mere kaano mein Jaise behata jaye ye paani Waise behala jaye mera mann ~fiza

Na-milkar bhi juda nahi hain - Meri Parchayee

Image
Insaan kayee baar apne aapko akela samjhkar bhi ek baat zaroor jaan leta hai ke woh akela nahi hai kyunke koi nahi to ooski parchayee sada osi ke sath rehati hai ...bas waqt-be-waqt woh aati jaati rehati hai ....aise hee jasbaat kuch yahan piroye hain... ;-) Do dil ek jaan hain  Magar yun bhi Mere saaye ki tarah  Mere sath ho tum bhi Mere andar ki baatein  Sab jaante ho tum Mujh mein rehakar  Sab mehasus karte ho tum Itna sab warna  Kaise pehachaante ho tum Mere andar samakar  Parchayee see nikalkar Mujhe mere hee roop se  Milvaate ho tum Ek muskurahat per sab  Kurbaan kar dete ho tum Kaise ye sab kar lete ho  Parchayee bankar reha lete ho Mere sochne se bhi pehale  Tum meri chaah jaan lete ho Iss kadar koi  Do jaan ban sakta hai? Sawal yehi oothta hai lekin Jab dil se dil ki raah ho Kaise mein na kahoon Tum meri parchaayee ho Mere sang -sang chalte ho Dur se dekhkar mujhe  Mujh hee se milaate ho Kaisa sanjog hai ye Na-milkar...

Haye kare 'fiza' iss duniya ko chahe tu kare na kare manjoor!

Image
Ek choti kavita likhne ka nimantran aaj mila email ke zariye, aur soch kuch oon dino par gayee jab sher likhne ki koshishein kiya karti thiN. Aaj bhi wohi koshish jari hai...meter ke hisab se na parkhein kyunke oss kabil abhi hum nahi pahunche...lekin jaise jaise zindagi ki haqiqat humein iss duniyadari ke baare mein sikhlati hai to lafz yoon he dil se nikal padte hein....isilah ke umeed mein... Oske chaukhat se rukhsat to hona tha manjoor, Khali haat sahi pyaar ki ruswayee nahi thi manjoor! Banavat ki duniya hai saja sajaya mehafil hai manjoor, Insaaniyat ki bhi wah-wahi banavat ho ye nahi manjoor! Tu kehata hai pyaar hai tujhe, chalo ye bhi sahi manjoor, Tere karni mein woh baat nahi phir kaise karein manjoor! Khudgarz hon duniya mein ye katayee nahi manjoor, Ek aadh se umeed banaye kya ye bhi nahi manjoor? Teri duniya ajab nirali, tere khel sahi mein manjoor, Sabhi ko saare rang yaheen deekhlaye aur kare manjoor! Khush hoga tu iss duniya se duniya walon se manjoor...

MashaAllah! Ye Bhi Kya Baat Hui!!!

Image
Kayee baar hum bahut see khushiyon mein sahi khushi ko bhula dete hein aur jab sahi khushi ka ehasaas hota hai tab jeevan ke khokle pan se rabta parta hai... :) insaan ki khushi oski choti-moti aur aas-paas ke logon aur rishton se banti hai, na ke paise, mahal aur matlabi pan se....aise hee gehare ehasaas liye prakriti ka sahara liye kuch likhne ki koshish....   Mujhe jannat mili naseeb se Oski dua kabool hui Aur ose mein mili MashaAllah! ye bhi kya baat hui! Barson se tadapti-ladkhadati see Patharon se takrati hui Oske sagosh mein namra hui MashaAllah! ye bhi kya baat hui! Behata hua paani patton se bhara Dekhne mein pyaas se murjhayi hui Tinke se khushi barkarari MashaAllah! ye bhi kya baat hui! Sab mitti mein mil jana hai Khet Khaliyan, behati dhara sahi Par milo to aise na farak mehasoos ho MashaAllah! ye bhi kya baat hui! ~ fiza

Mein Pareshaan Hoon!!!

Image
Mumbai mein bam phatne ki khabar ne insaan ke insaaniyat hone ko lalkaara hai…! Aaj har koi iss avesh mein hai ke kaise iska moonh tod jawab mein doon, aakhir sehanshil hone ki bhi ek hadd hoti hai… Mein hairaan nahi mein nadaan nahi mein sehansheel hoon  magar itna bhi nahi,  Bas mein pareshaan hoon! Kyun majboor kare mujhe koi aankh ke badle aankh aur jaan ke badle jaan loon? Bas mein pareshaan hoon! Lashon ke dher mein bhi roji -roti ki bhagdad hai kisi ko rota dekhkar bhi puchkarna na aaye mujhe Bas mein pareshaan hoon! Aur na inteha le mere sabr ka mein bhi insaan hoon toot na jaye mera bandh sabr ka tujh mein mujh mein kuch to reha jaye farak Bas mein pareshaan hoon! ~ fiza

Sath rehakar bhi hain juda juda

Image
Raste ke do kinare hon ya phir rail ki patari...sath to woh rehate hein hamesha lekin oonka milan hote dekha hai kabhi? Ye kuch logon ki haqiqat bhi hoti hai...sath rehakar bhi woh ek hote nahi kyunke oonka milan he mumkin nahi ... Seedhe tedhe medhe anjaan raaste Sadkon per se aate jaate raaste Har koi iss per se guzar na chahe Aise anjaan magar ullas wale raaste Ek se ek jud gaye woh aise raaste Maano seedhe seedhe chalein sath mein Sath rehakar bhi hain juda juda Aise the woh rail ki patari wale raaste Jungle hon khet khaliyaan ye raaste Kabhi raaston se sheharon se guzarte Patari to hote hein sath chalne ke waste Kabhi dekha hai onhein milte huye Kahani hai ye onn raaston ke Onn logon ke onn bastiyon ke Sath rehakar bhi hain juda juda Aise hain sammelan patari ke ~ fiza

Barsaat Ki Bhigi Bhigi...

Image
Anayaas, anhoni se mausam mein jab barsaat ki barish ghangor barasti hai tab dil ki halat koi kaise samjhaye....ishare hee kaam aate hein ;-) ek natkhat sa, chul-bula sa aapki nazar... Barsaat ki bhigi bhigi Geeli geeli meeti se Saundhi see khusboo Mere saanson mein Meri rooh mein Mehaka gayee jaise Mohabbat ki pehali Milne na-milne ki Saundhi kashmakash Dil milne ko bekaraar Kabhi sirf dekhne to Kabhi sirf choone ko Barsaat ki ye bhigi bhigi Geeli geeli meeti tarsaye ~ fiza

Jungle Mein Ho Jaise Mangal Jaani

Image
Barish ka mausam aur os par panchiyon, billiyon aur madmast pahadon ka mishran ...mere office desk ki khidki se aankhon dekha ek vivaran iss kavita ke dwara pesh karne ki koshish kar rahi hoon....izajat dijiyega.... Dhundhlate pahad barasta paani Jungle mein ho jaise mangal jaani Bhig nikale hein panchi jodiyon mein Bhiga ped bhiga jungle paani mein Jaitun ki daliyon mein baitha joda Mausam ka anand lene jo badha Lapak kar chalaang mara billi ne Pyaar ke khel mein is bairagi ne Boondon ne kiya sangeet leela Panchiyon ka cheha-chahata mela Oss ki boondon se peekar pani Rail ki sitti se darkar phur hui jani   Charon taraf hai hariyali he hariyali Khila pahad khila jungle aasman neeli Phulon per bhanvara kare gunjan Panchiyan chonch milakar hogaye magan Badalon ka chatta liye aasman Panchiyon paudhon per hai meharbaan Ek jharokhe se dekh ye drishya Lalayit ho ootha jaise mera bhavishya Dhundhlate pahad barasta paani Jungle mein h...

Bhigi bhigi raaton mein

Image
Aajkal kaale kaale badal jahan ghire rehate hein har dam maano kisi ko apne aalingan se chipa rahe hon aur to aur barish ki boondein dil ke armaano ki baarish iss tarah karte hein ke jungle mein bhi morr naachne hee lagta hai...phir ye pagal mann kyun na naache aur kyun na behake ;-) Bhigi bhigi raaton mein Bhigi bhigi baaton mein Jaane kya keha gaye tum Jaane kya sun gayee mein Behalte behalte chali mein Tere pyaar ki galiyon mein Sukhe patton ki bhanti Pyaar ke surur mein Bhigi bhigi raaton mein Bhigi bhigi baaton mein Jaane kaun waqt aaya aur Jaane kaun waqt gaya per Umangon ke saagar mein Gote khata hua ye mann machalta hua ye mera mann tum sang hone ko tang hua Bhigi bhigi raaton mein Bhigi bhigi baateon mein ~ fiza

Kharondti Humein Idhar Oodhar

Image
Zindagi ki parchahiyaan aise Jaise sath koi nikal pade Din badalte rahe lekin Mausam wohi suna suna Kaash ye waqt -be-waqt Phisal jata kisi aur mod Hum bhi jee lete aur Tum bhi jee lete phir Zindagi ki parchahiyaan aise Kyun kharondti humein idhar oodhar Zindagi hai zalim magar Parchayee bhi bane tab Jab sath mein sooraj aaye nazar Warna kaun zindagi aur kya parchayee Ye to matlab ke hain khel JO nazar aaye har din idhar oodhar Kaash na hoti koi bediyaan Zindagi, zindagi na rehakar ban jaati koi kathputliyaan Na hota kisi per hak na jimmedari Jo hota khel rachane wala Wohi majdhar mein bhi sahil bana rehata Na hota afsos kisi se ke kya hua idhar oodhar ~ fiza
First we build the tools, then they build us :-(
Something that put me to think...The impending Singularity in our future is increasingly transforming every institution & aspect of human life, from sexuality to spirituality
Irritability is immaturity of character. If U R subject 2 being cross & unpleasant with others 4 no apparent reason, U need 2 come face-2-face with the fact that U R thinking too much of Urself. After all, Ur feelings R not the most important things in this world
Something tht I read - I am neither bitter nor cynical but I do wish there was less immaturity in political thinking. Franklin D. Roosevelt

Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki

Image
Ghane kaale - kaale badal aaj jab toofaan ke aane ka andesha dene lage to kuch anayaas aise khayaal nazar aane lage...pesh-e-khidmat hai...   Dhundli see hai fiza aaj kaali ghata bhi Tufaan ke aane se pehale ki ye awargii Obal rahe hein ehasaas khamoshi mein Jis tarah bul-bule garajte hein patile mein Hukke ki bod-bod mein dhuaan oodata hua Sukoon de magar jalte tambaku kise deekhe Mom ke pighalne ki kise padi hai ab Jab diya jale roshni kayam rahe tab Leharata nachta patanga lalten per Naachte woh marta hai pyaar per Jalo to Lakadiyon ki bhanti jalo Ke raakh ho jayein  phir bhi kaam aayein Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki Na to woh barasta hai kabhi na badalti hai ghata kaheen ~ fiza

Na mukar jana kisi mod per aakar...

Image
Ek dost ke janamdin per dil se duayein hee nikalti hein aur aise mein kavita likhne ki farmaish bhi kee jaaye to janab kuch maange bager to reha nahi sakta ye kambakht dil ;-) Ek kavita tumhare janamdin per Taufa kabool farmaiye per Jo maangein hum tumse to Na mukar jana kisi mod per aakar Ye hasta hua chehara khila rahe Na aanch aane de iss muskaan per Ye wada aaj hum se karein Na mukar jana kisi mod per aakar Umeed se bhari muskaan apni Jeene ki aas badhayein sabhi ki Dhadkan bani rehana yoonhee onki Na mukar jana kisi mod per aakar Dil se yehi dua nikalti hai aaj Tum raho aabaad aur khushaal Maanga hai oos khuda se bhi yehi Na mukar jana kisi mod per aakar ~ fiza

Hawa ke zhonke sa...

Image
Ek ehasaas jise keval mehasoos hee kiya ja sakta hai...jiski hone ki kabhi khabar pehale se nahi hoti...lekin jab ye ehasaas ki anubhuti ka pata chalta hai tab tak ehasaas ek atki hui saans ki tarah dil mein phansi rehati hai aur tab...kya kya sochta hai insaan...ek koshish ... Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Pal bhar ke liye hee sahi Jee mein sau tarangon ka aana Is pal ko mein jee loon ab Sau jeevan kurbaan sahi Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Mere dil se athkeli karna Phir sapno mein chali aana Aankh khulte hee jaise Khusboo see ood jaana Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Dil ke armaan huye bekaboo Zhonkon sa aana jaana Khusboo phailakar ghum ho jaana Aur na khelo ankhmicholi Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Ab ke aao to band kar loon mein Seene se, dil ki geharayee mein Khusboo sa ehasaas hee sahi Banke meri subha tum rehana Hawa ke zhonke sa hee sahi Tum aana aur phir kabhi na jaana   ~ fiza