Posts

Showing posts from 2010

Ye Jannat kaisa hota hai?

Image
Zindagi mein aap khwab dekhte ho jo kabhi kabhi aap haqiqat mein jeete ho :)! Aur isi jhunjhulahat mein khwab aur haqiqat aapko do aise rang mein le aate hein ke aap soch mein pad jaate ho ke aakhir  woh tha kya? Ek choti see koshish... Jannat ki ser kise kehate hein meine bhi ye khwab dekha Kuch-kuch khwabon jaisa to kuch khwabon se bhi accha Raaste ke mod per kaheen Peepal ki dhandi chaanv tale Kuch der tham kar socha Yehi hai woh jannat jaisa? Jise meine khwabon mein dekha? Dur se oodti titali aayee Boli pal bhar mein mai urr jaoon Jitna tum behalalo jee per Khwab to Khwab hee hai aakhir Sehar ke aate ooth jana tum Mein bholi kuch na jaani Khwab ko haqiqat samjhi Jivan ki sui-dor se bun ne lagi Jo kabhi na judi kaheen se Is pal ko jivan se jodne lagi Nisha ki woh kaali raat bhi aayee Jivan ki kaali khari tasveer liye Woh bun ne lagi jaise makadi ka jaala Dheere dheere phaans liya makade ne Shikaar hogayee, ek aur khoon ho gaya  Sach hee...

Kaash ye dil ek ghada hota?

Image
Ek soch...kyun ke insaan ka dil bahut hee zalim hai jo ke jab khush na ho to bahut dard de jaata hai aur jab khush ho to phir insaan ki woh haalat kar deta hai jo insaan ke bhi wash mein nahi hota ke oos se sambhala jaaye...ek soch maatra pesh kiya hai ....aapki paziryaari ke liye shukriya kaash ye dil ek ghada hota thodi der ke liye jal bhar jaata kuch bhi ho mera dil khush ho jaata bhala Ismein kya bura ho jaata? Kuch roz hee ke liye sahi doston Dil to mera khush hee rehata Aage aage jaane jo bhi hota Mein apna ghada lekar phir nikalta Aise hee jalashay ki talash mein Iss ghade ko mein bharta rehata Har agle din jab ye khali hota Mein jal ki dhara ko pakadne lag jata Kaash ye dil ek ghada hota thodi der ke liye pyaar se bhar jaata kuch alag alag logon se milta Dil ke armaan oonse share kar leta ;-) Dil ki baat jab nikal aayee hai To kyun ab apna tikana bana leta? Ek jis per dil aajata Ose hee pakad kar apna leta? Aise kuch kash-mush mein hee Oonse ...

Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha

Image
Rakshabandhan - jo kabhi aise waqt ki yaad dilata hai jab ek maharani ne apni jaan ijjat bachane ke liye dusre raja ko rakhi ke dhaage se raksha ki minnat ki thi aur ye pratha wahan se shuru hui. Os waqt khoon ke rishte se bhi badhkar maane jaate the rakhi ke bandhan se bana hua bhai-behan ka pyaar...aur aaj shayad khoon ke rishte mein hokar bhi bhai-behan kahan nibha paate hein? Meine bhi nibhaya tha Dhagon ke bandhan mein bandha tha Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha Atoot bandhan tha dhagon se badhkar majboot tha Athkheliyon mein aur ladakpan mein Behakte kadamon ki dastaan chipaye rakha tha Aisa pyaara aur salona rishta tha Meine bhi nibhaya tha Dhagon ke bandhan mein bandha tha Kab woh itna bada hogaya Jaane kaise dhaga kaccha hogaya Barson ke iss rishte ko dhage se todd diya Kis baat ka garoor tha na jaane kis baat ka veham Woh rishta toot te gaya kache daage sa Woh rang phika hote gaya holi ke rangon sa Meine bhi nibhaya tha Dhagon ke bandhan mein bandha tha Aaj yaad...

Ek Phul...

Image
Swantantrata diwas ki shubhkamnayein doston...ye ek iss tarah ki azaadi hai jahan desh per mar-mitne ke liye kisi ki bhi ijazat nahi leni padti ...aise hee jasbaat ubhar kar nikale jab desh-premiyon aur shaheed jawano ko yaad kiya aur shradhanjai arpit kiya... Ek phul jo toot ke gira Ladkhadata hua ja atka Tehaniyon per Aandhiyon ke jhokon mein Na phanskar Woh phir gira vahan se Lekin, Patton ke beech ja phansa ab ke Jaanwaron ne bhuk mitayee Patton ke sang woh phul Phir Kaheen Chip gaya aur leharata hua Oos waqt path par ja gira Jab shaheedon per mitti dali gayee!!! ~ fiza

Tu aur kareeb hee ho chala hai

Image
Kabhi -Kabhi Dil guzre huye pal ko yaad karke hee mastmaula ho jaata hai. Kisi apne ke dur hone per bhi khayaalon ki kambal bunte oose der nahi lagti aur phir oosi kambal ko apne se lapetkar woh hijr ki raat bitaata hai...aise hee kuch asmanjas mein pade mann ki halat ko pesh karne ka pryaas... Shyam ke is chanchal ban (jungle) mein Mann chanchal ban ho chala hai Phir bachpan ki athkeliyon mein Mann khelne aaj phir chala hai Bad-mast voh pawan sang Main Chori-seena zori kar chala hai Mast-Maula Logon Ki Bhid Mein Kyun mann tujhe soch chala hai Masti bhare iss shyam mein Kyun dil tujhe dhunde chala hai Kareeb se bhi kareeb hoon Main Phir kyun mujh se dur chala hai Dil ke bagdor ki majbooti mein Tu aur kareeb hee ho chala hai Fiza soche hein iss bhagdad mein Kyun ye mann manchala ho chala hai ~ fiza

Har taraf yehi rona hai

Image
Aajkal rishte naaton mein itne tanaav aur tanz paaye jaate hein ke bas...dil kehata hai band karo iss rasmon -rivaazon ko aur khuli azaadi mein jiyo... Har taraf yehi rona hai Har patni ka pati ko rokna hai Jo Patni Jeene de Pati ko Woh osi per nirbhar reha jana hai Har taraf yehi rona hai Har Patni ka pati ko rokna hai Jeene se, khush hone se Jahan Jo Jukha waheen woh phansa sadgi aur apnaiyat ki dastaan kitaabon mein bhali lage hai Har taraf yehi rona hai Har Patni ka Pati Ko Rokna Hai Tu-Tu, Mein - Mein Ki Ye Hodd Kab kahan tak rukegi kahan tak chalegi Ahamkaar ki justazoo mein kahan tak Bacchon ki bali chadhayee jayegi Har taraf yehi rona hai Har Patni ka Pati ko Rokna Hai Shayad woh waqt aagaya hai Jahan rasmon se umeed uth gaya hai Patni aur Pati ka roop mitt gaya hai Ek bhayanak sapna sa umeed kho gaya hai Har taraf yehi rona hai Har Patni ka Pati ko Rokna hai Chalo milkar ye jahan sajayein Pyaar se bhari na umeedi ki Jahan tum se kuch na maangein Jee bharkar tumhein chaahein Ha...

Par hum to kabhi nahi mile

Image
.......... Hum chaukhat se ruksat huye aise Jaise lage kabhi nahi hum mile Duriyon ko aur dur karein ke Jaise lage kabhi nahi hum mile Chahatein, ulfatein, sapne sanjoye Lekin hum kabhi nahi mile Kis - kis tarah dekhe sapne Par hum to kabhi nahi mile Aarzoo on mein kaise beeta waqt Haan lekin hum kabhi nahi mile Chand phisale huye pal zindagi ban gayee Lekin phir, Jaise lage kabhi hum nahi mile Soch mein Hai fiza aaj bhi kaise… Aise, Jaise lage kabhi hum nahi mile ~ Fiza

Kash-ma-kash mein padi fiza

Image
Kehate hein aksar duriyaan insaan ko paas laate hein. Kabhi kabhi duriyan dur rehane ka sabab bhi ban jaate hein...dono suraton mein paas aur dur jaane ka dar bana rehata hai. Lekin jab duriyon ke baad phasle kam ho jaate hein tab...ka haal kuch asmanjas mein hee daalta hai...kambhakt ye pyaar kyun hota hai? Usha se Nisha tak mastishk mein chaye ho Duriyone kya sitam kardiye Jo paas aakar sambhle nahi ho Ye kaisee kashish hai Kya deewanapan kar rahe ho Dil mein toofaan sa machalta Ek behaav sa kyun khench rahe ho Tum dur nahi the wohi thik tha Yoon tadpaane kyun lage ho Theharaav se bhari zindagi thi Kahaan se aakar khalbali macha rahe ho Kasauti ki baandh banayee thi Ye toofan se kyun oose tod rahe ho Ab sambhalna Vash mein nahi To kyun mujhe nasihatein dete ho Kash-ma-kash mein padi fiza Pooche iska koi to hal ho? ~ Fiza

Gol Gol Chanda!

Chand ko logon ne alagh alagh roop mein dekha hai jaana hai aur iski upma anek tarah se suna aur padha bhi hai. Mujhe hamesha chaand ek akela musafir hee laga...jo aur ke liye jalta, chalta rehata hai aur auron ko manzil tak pahunchakar phir nikal padta hai apne akele safar mein...mein aksar chand ke dard ko mehasoos kar jaati hoon apne hee tarike se... kuch armaan nikal aaye mere jab meine aasmaan mein gol gol bada chaand dekha... mere zehan ki thakaan mano pani pani hogaya dekha jo aasmaan mein gol gol chanda muskurahat ki lehar jaise phaila gayee ho roshan chandni chehare per gol gol chanda mein nikali lekar gaddi woh chala phir mere peeche balkhate to kabhi chip-chipaate gol gol chanda har baar woh dekhta aise kabhi pedon ke peeche se to kabhi raaste ke khambon se gol gol chanda Jo mein so jaaon thak kar Phir bhi woh jagta rahe neend chadhne tak mujhe sehalaye gol gol chanda ~ fiza

Pyaar Karne Ki Ritu, Abhi Angadayee Leti Hai Kam

Insaan pyaar jaisee cheezon mein jab dhal jaata hai to, tab woh ishwar ko choo leta hai - aisa bade buzurgon se suna tha! Lekin jab inhee premiyon ko juda kar diya jaata hai...tab woh dil ke kareeb to hote hee hain lekin aankhon se aankhon ko dekhne aur pyaar ke izhaar karne ki rut ko kho baith te hein...iss virah ki ghadi mein jo jasbaat dhalte hein khayaalon mein woh kuch iss tarah pesh kiya hai... Pyaar ke ehasaas,jataye nahi the tab tak Acchi thi roshni,chaand ke nikalne tak Oonki becheni mein,Ek karaar tha yoon Ke meri har muraad,roshan hui mumnoon (thankful) Oss (dew) jaise Ehasaas, kirano mein oodne lage Ab hum tadapne lage,dhuyein se baatein karne lage Dil aur deemag ke,iss uljhan mein virah ke teer jhele,kambhakt dil roye Ishq ke ye ehasaas,meethe dard jagaaye diye ki tarah jalkar,roshan kaheen aur ho jaaye apni tadapti rooh ko,samjhane lage hein hum pyaar karne ki ritu,abhi angadayee leti hai kam Dil ko samjhayein to kaise,Ghabaraye to rokein kaise Aaj chandani ki roshni mein...

Aakhir Kyun?

Kayee baar jo sapne hum dekhte hein oonhein hum pa bhi lein to oosmein khalan paida hone ki gunjaish bahut jyada hoti hai... Kyunke kabhi kabhi hum iss vishwas ko hee kho dete hein ke kabhi hamare sapne bhi poore ho sakte hein... aise mein jab waqai mein koi oos sapne mein daraar dalein to jo khayaalat aate hein oonhein pesh karni ki choti see koshish... Dil mein toofan sa jasbaat mein dhalaan sa mein kis ki sunoo Mein kyun kar sunoo Oske ehasaas ka qatl ooske jazbaat ka qatl dard mujh ko hoye mein kyun kar sahoon Koi dhamkaaye oose Koi zabaran rakhe oose kaisa faisla hai ye Mein kyun kar daroon Har baar jo sehata ho Har baar jo jalta ho Osi per phir pahad toote Mein kyun kar samjhoon Koi khuda per ilzaam dhare Jab bali hee chadhani ho to Meri hee gardan kyun aaye Mein kyun ye anyaay sahoon Mein kyun har baar ye hone doon Kya khuda hai bhi Ya ye bhi sirf ek veham hai Mein kyun iss jhoothi aas mein jiyoon Kyun? Kyun? Kyun? ~ fiza

मैं

ज़िन्दगी में कभी ऐसे मौके आये हैं जहाँ आप इस कदर खुदगर्ज़ हो जाते हैं के आपको सिर्फ अपनी फिकर होती है के में कैसे जियूँगा और में कैसे अपने आपको किसी भी हालात से बहार निकालूँगा जहाँ मुझे किसी पर भी निर्भर रहना न पड़े ...ऐसे चंद मौकों, लम्हों जहां "मैं" का महत्व दर्शाने की एकमात्र कोशिश... मैं !!! मैं चाहता हूँ , दिल से तुझे मैं बहलाता हूँ , दिल से तेरे मैं प्यार चाहता हूँ , दिल से तेरे मैं चाहता हूँ , तू भी प्यार करे मैं चाहता हूँ , तू भी बहले मुझ से मैं चाहता हूँ , गर तू न आये मेरे पास में चाहता हूँ , भूल जाऊं में तुझे तुझ से पहले, में जीत जाऊं इसमें मैं चाहता हूँ , तकलीफ कम हो मुझे जब में निकल जाऊं , सुकून से इस प्यार के झमेले से तब तुम चली जाना ज़िन्दगी से न कभी फिर सहारे की जुस्तजू तुमसे मैं चाहता हूँ , ये दिल से के तू हमेशा चाहते रहे , लेकिन में निकल जाऊं इसमें से मैं चाहता हूँ , दिल से तुझे मैं बहलाता हूँ , दिल से तेरे ~ फिजा

न दिल जानता है , न हम जानते हैं!

Image
कभी ऐसा हुआ है जब आपको ही नहीं मालूम आपका दिल क्या चाहता है और दिल की असमंजस में वोह बहका हुआ सा तो कभी उलझा हुआ सा रहता है. जो भी हो, ऐसे में वोह बहुत कुछ गँवा बैठता है ...कुछ चाँद अल्फाजों में प्रस्तुति करने का प्रयास ... आज ये क्या होगया है , आज ये क्या होगया है न दिल जानता है , न हम जानते हैं गडगडाहट सी बारिश , न हम भीग रहे हैं न दिल भीग रहा है , आज ये क्या होगया है बारिश हो हम न हों कहीं , ऐसा पहली बार हुआ है बरखा से दूर कहाँ जा रहा है , आज ये क्या होगया है न कुछ सूझता है , न कुछ समझता है बीमारी कुछ नहीं है ,हाल बीमारों सा है आज ये क्या होगया है , आज ये क्या होगया है न दिल जानता है , न हम जानते हैं ~ फिजा