Friday, October 15, 2010

Kaash ye dil ek ghada hota?

Ek soch...kyun ke insaan ka dil bahut hee zalim hai jo ke jab khush na ho to bahut dard de jaata hai aur jab khush ho to phir insaan ki woh haalat kar deta hai jo insaan ke bhi wash mein nahi hota ke oos se sambhala jaaye...ek soch maatra pesh kiya hai ....aapki paziryaari ke liye shukriya




kaash ye dil ek ghada hota
thodi der ke liye jal bhar jaata
kuch bhi ho mera dil khush ho jaata
bhala Ismein kya bura ho jaata?


Kuch roz hee ke liye sahi doston
Dil to mera khush hee rehata
Aage aage jaane jo bhi hota
Mein apna ghada lekar phir nikalta


Aise hee jalashay ki talash mein
Iss ghade ko mein bharta rehata
Har agle din jab ye khali hota
Mein jal ki dhara ko pakadne lag jata


Kaash ye dil ek ghada hota
thodi der ke liye pyaar se bhar jaata
kuch alag alag logon se milta
Dil ke armaan oonse share kar leta ;-)


Dil ki baat jab nikal aayee hai
To kyun ab apna tikana bana leta?
Ek jis per dil aajata
Ose hee pakad kar apna leta?


Aise kuch kash-mush mein hee
Oonse mein aankh se aankh mila jata
Kuch bhi ho aise mein mera dil khush ho jaata
Kaash ye dil ek ghada hota?


Dil ka ya hai ghade jaisa
Kab kaise kis se toot jata
Phir mein naye ghade ki talaash mein
Duniya bhar kumbhaar dundta phirta


Kya ye dil phir ek ghada ban paata?

~ fiza

No comments:

अच्छी यादें दे जाओ ख़ुशी से !

  गुज़रते वक़्त से सीखा है  गुज़रे हुए पल, और लोग  वो फिर नहीं आते ! मतलबी या खुदगर्ज़ी हो  एक बार समझ आ जाए  उनका साथ फिर नहीं देते ! पास न हों...