Posts

Showing posts from October, 2013

Zamin pe rehakar aasman ke chand se ki hai mohabbat

Image
Zamin pe rehakar aasman ke chand se ki hai mohabbat Dekh ye geharayee iski duri mein ya meri mohabbat Dur se koson baith dekhta hai sabhi ko, meri mohabbat Kya jaane kisi ek se karna kya hota hai mohabbat Zhilmil sitaron sang ankhmicholi dur yahan mohabbat Kabhi khayaal aaya dekh aayein apni mohabbat? Man he man khush hote ho dekh tarasati mohabbat Tum bhi kya yaad karoge humse hee hui hai mohabbat Deep jalkar bhujh jati hai so hai patange ki bhi mohabbat Mein tab tak takhti hun ‘ae Chand’ jab tak na ho rubaroo mohabbat Kayee sune aur dekhe honge opar se tune mohabbat Ek he hai ‘fiza’ jo kayal aur kabil hai teri mohabbat ;) ~ fiza

Kaati hai ulfat mein yun zindagani...

Image
Kaati hai ulfat mein yun zindagani Har shaks nasihat de samajh nadani Khaomshi se kaat rahe zindagi ka charkha Na jaane kyun log kaath rahe sooth apna Har koi eham ka pala-badha akkal se Sochne ka waqt raha ab kisko-kis se Hoti hai yun bhi ulfat ke afsaane Pyaar se do lafz keha lo lage uktaane Ganimat hai samajhta nahi uske tevar Tum nahi badloge yehi socha der-saver Waqt aagaya hai ‘fiza’ kamar kaslene ka Ek aur baar sahi sarfaroshi ki tammana ka ~ fiza