Posts

Showing posts from May, 2013

Zindagi aaj zindagi se mila aayee humein...

Image
Zindagi aaj zindagi se mila aayee humein Ab tak jiye woh khawabon mein jeete aaye Nanha bachpan jisne na chorha humein Aaj tak sath nibha raha sang leke jiye Ek gharonde sa sajake rakha dil mein humein Woh aam, gili-danda khelte haste na samaye Dost ghuma laaye un galiyon mein humein Jahan barson humne rehakar bachpan bitaye Sath kisi ka rahe na rahe housla hai humein Rasta-rasta liye har pal bachpan ke woh diye Jee rahe wohi bachpan aaj sang liye humein Bachpan se hee hum bachpan mein hee rahe Mein khush hoon 'fiza' jannat naseeb hui humein Sabhi se milkar dil saaz-e-bahar khusbu bikharaye ~ fiza

Kab, kaise is seep mein moti ban gayi

Image
Rishte banakar kabhi judi nahi Rishton mein azaad rehakar khush rahi Gham se rishta yun jud gaya mera Kabhi kisi ke pyar ki arzoo na rahi Kab, kaise is seep mein moti ban gayi Aaj apnon se dur, tilmila main rahi Kab rishton ki god mein yun so gayi Kisi ke pyaar mein khushbu see reha gayi Ab azaad rehane ki jigyasa he na rahi Main khush hun ke seep mein reha gayi Rishton ke bandhan ke sukh ko samajh gayi Chand ki khamoshi mein pyar ki geharayi nap payi ~ fiza