Posts

Showing posts from March, 2013

Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein

Image
Sehar se shyam bandhein Shyam se sehar kasam mein Yehi rehaguzar  tamanna mein Chand aur sehar doobe rahein Boondein woh kan-kan mein Samaye aise mere zehan mein Jaise ankuriya phute jiyara mein Bhige raste, bhiga aanchal mora Simate huye armaan bhiga chehara Tarasta hua rahi pyasa man bhaya Choomkar pyaas bhujaye kanwara Kam na kare nazaron ke teer maarna Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein Jahan kaale badal kare puhaar Machal jaye mora nadaan jiyara Apni dhunki mein rahe woh is pal Jee le tu phir kab kisne dekha kal ~ fiza

Zindagi Ke Kareeb Hoon Aise!

Image
Dil nasaaz sa raha kuch din  Bujha-bujha sa ojhal mann Badalon se dhaka aasmaan Waheen, kaheen chipa chaand  Nis din mein karun uska intezar  Kabhi to bujhegi milan ki pyaas Udasiyon mein dooba mann Rangon se bhara ye mausam Berang sa phir kyun lage chaman? Soch mein duboon mein nisdin Phulon ki bahaar har taraf Panchiyon ki cheha-chehahat Barish ki girti tap-tap boondein Paas humein le aaye aise Jaise phir kab milungi us se Dekh aankhbhar samaya mujh mein Uski bahon mein nisaar ho shaam jaise Thaki -haari phir bhi zindagi ke kareeb hoon aise! ~ fiza