Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha
Mehakta sa ek khwab hai Muskurati hui subha Sochne per deewana kare Aur jagaye nayi asha Aankhon se baatein karna Zubaan se na kuch kaha Samjhne wale per beete so beete Achambhit ye dil hua Be-maut he mara gaya dil bechara, Kab ye kahan hua? Uske pyaar mein awaz nahi hoti Magar dil tak ja chubha Milkar us se mein gair hui Usiki bahon mein jaise sab khoya Us se dur rehakar bhi Uske khayalon mein jaise bani shobha Khud ko luta aayee uski bahon mein Chand lamha he hua Uske tan ki khushbu saanson mein Ab bhi hai mehaka hua Dur rehakar na chen aaye, Kaisa hai kambhakht jiya Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha ~ fiza