Posts

Showing posts from September, 2012

Na jee sakegi tanha dur tumse rehake

Image
Aas mein uljha ke oss mein dubake Kya milega yun humein tarsaake? Har pal sath mere khayalon mein uljhe Suljhane kyun nahi kisi bahane aate? Khamosh nazar se yun dekhkar jalate Dil mein kyun kayee hulchul machaate? Dilon mein gud-gudi leharon sa sehalate Zubaan se kyun na ye raaz sab kholate? Chuppi tumhari kayee sitam hain dhaate Nazaron se baatein kar kyun hain sataate? Is kadar mohabbat mein mujhe duboke Kya jaan lene aaye ho tum thaanke? Chahati hai 'fiza' iss kadar dil lagake Na jee sakegi tanha dur tumse rehake ~ fiza

Uljhe huye khayaal se hain ab har palchin

Image
Palchin palchin intezaar mein kat te din Til-til main jiyun yaad mein yun tere bin Ek pal hai leharata man yadon mein nisdin Agle palchin hai yaad sataati rahun tum bin Aankhon se kehate dil ke sab raaz gin-gin Jaise hee choone aaon kho jaate ho hardin Dur se lalchaate ho meri chahat ko zalim Sochon mein kareeb jaise chandan aur nagin Uljhe huye khayaal se hein ab har palchin Itna na sataya karo baat hai ab sangin Saans chalti hai har pal jiya na jaye tum bin Rukhsat hoti hai intezaar mein har sham rangeen ~ fiza

Kal shaam har shaam jaisee na thi

Image
Kal shaam har shaam jaisee na thi Nazaron ki shararat kabhi aise na thi Woh pal sath ke aise kabhi na guzari thi Mohabbat ki boli thi magar aise na thi Uski har ada qatilana jaise kisi ki na thi Meri har nabz per jaise usi ki ravanagi thi Har saans mein uske jaise mai hi mai thi Uske har ek ishaare per mai mar-miti thi Saunp doon khud ko mai deewani jo thi Ye deewanagi koi jaani pehachani na thi Kal sham ka suraj dhala magar aag baki thi Raat to raat magar subha bhi kam jali na thi Deewanagi ki hadd hai 'fiza' jo anjaan thi Sambhalte ab na sambhale ye jaan per thi ~ fiza

Chalakta uski aankhon se woh lamha

Image
Chalakta uski aankhon se woh lamha Kaise mein kaid kar laayi yun tanha Kam lafzon se jo behaka de dariya Lafzon se nakarta raha woh pagla Badalon ke gheron sa uska aana Bin barsaat dubo dena bhigana uska Dhak-dhak dhadkan hui tez us pal  Jab soche na samjhe dil ye kyun kumhala Mein kahin bhi jaaon woh sath hai chala Jaise kisi khwab ko ratt ke dhorata chala Ek deewangi ka alam hai chala Kabhi apne to kabhi apne pagalpan pe hasa Jo bhi ho humein bhi shayad ye pyaar hua ~ fiza