Posts

Showing posts from July, 2012

Chale bhi aao ek baar meri gali

Image
Din guzarte rehate hein yunhi Musruf hoon ke ginti hoti nahi Chaye rehate ho har pal sahi Niharte rehati hoon chehara wahi Mastiyan chalkaati khushbu pyaar ki Ke dil badmashiyan kare kayi Aankhon se jo kal baatein ki Labon ne samjhaya aaj wahi Dil ki dhadkan tez kuch hui Ishaaron se yun simati hui Musruf hoon kaamon mein yunhi Afsaana sabhi ka bhi,rona yehi Chale bhi aao ek baar meri gali Ke 'fiza' hai intezaar mein khili ~ fiza

Prakruti Ka Khel :)

Image
Neela-neela ye gagan Shwet baadalon ka liptan Geela-geela neela-neela Behata paani sa badan Bhura-bhura ye zameen Paas ho kar bhi pyaasa Ek pal lage ose bhigodoon Paas jakar pyaas bujhadoon Sochon mein hai ye nazdikiyaan Dekhoon to koson hain duriyaan Dilon ki baaton ka kya hai kehana Duriyon mein bhi aata hai pyaar basaana Chahe rahein dur chahe rahe paas aashiyaana ~ fiza

Kal raat kali chadar odhe

Image
 Kal raat kali chadar odhe  Angadaiyon ke silvaton mein  Dur khila sa chaand dekha Badalon ki dhundhlahat mein Pedon ke ghane chaanv mein Tum aaye kuch yoon kareeb se Aahon ki laptein othin jhat se Jal jaoon is pal mein mai Tum sang aise mil jaaon pighalke Na fark rahe chaand aur chaandni mein Jab bhi koi humein dekhe gaur se Mein tum mein aur tum mujh mein samaye aise Dur neel gagan mein taaron ke gaon mein Kuch din thehar ke yun hee mil-julke Geet gayein sang milan ke Khwabon ki ladiyaan piroke Kuch tum chun na kuch mein chunungi Geet-sangeet ki dhwani bankar Anant kaal mein goonj oothungi Jab bhi pooranmashi aaye Mere sang mera chaand bhi aaye Pyaar ke aagosh mein rehakar Is jag mein roshni phailaye   ~ fiza

Uski Nazarein ;)

Image
Hum apne dinchrya zindagi mein kitne hee logon se milte hein aur kitno se to sirf nazarein hee milti hein aise milne -milaane mein kab kahan kaun dil ke gharonde mein bas jaata hai ye to shayad khud dil bhi nahi jaan paata :) aise hee ek jasbaat ko pesh karne ki koshish.... Kisi ko dekh seene ki dhadkan tez hogayii Uski nazarein mujhe der tak ghurti rahii Dil machal ootha anayaas hee sahi Der tak uski nazarein peecha karti rahii Uss gadbadahat mein na jee bhar dekh payii Nazaron se jo khenchi tasveer wohi le aayii Dur tak saath diya unn nazaron ne mera Musruf rakha har pal apne khayaalon se hii Dil ke armaan machale huye se tadpa gayii Tasveeron mein hee jee bhar pyaar kar payii Armaano ke phulon se sajaya khwab kayii Bairan ab ye mann gaati hai dhun uske kayii Ab ye alam hai unn nazaron se ghayal kya huii Mujhe to raas koi na aaye 'fiza' ab bas wohii ~ fiza