Posts

Showing posts from February, 2012

Badal barish pahad aur ye mausam....

Image
Dhalta anchal sa badal Gira oon pahadon per Jaise makhmali chadar Adh Dhaka sa adh khula sa Bhigota hua barish mein Tan-mann mein phailakar Gudgudahat ki khalbali si Jo machalkar samane lage Uski bahon mein ek kamal sa Khilta hua dheere oske pyaar se Khushboo bikharata jungle mein Paaniyon ke boondon se bana Woh pyaar ki harakatein karta hua Deewana banata har kisi ko Dhunde do dilon ki daastan Badal barish pahad aur ye mausam Kardete hain chanchal mastbahar ~fiza

Pankhuri ke khulne jaisa...

Image
Aaj dil soch mein dooba Iss kadar dilruba hua Ke khud se begana hua Ye sochne mein raha woh Kis tarah mein panchi ban Ud jaon oos chor per jahan Mein dur se dekhoon sabhiko Par rahoon mein sabse dur wahan Dur gagan mein udte-phirte Sair-sapat kar aaon dhum se Pankhuri ke khulne jaisa Khulkar khusboo bikharaaon Nisha ke aate he mein jhat se Bandh ho jaaon phulon jaise Kaun tika hai antkaal tak Jo afsos kare kisi ka Aana jaana laga rahega Aate-jaate jee lo tum Jo pa liya so pa liya Jo kho diya so kho diya Kya lekar aaye jo khone ka dar Sabkuch tumhein yahan mila hai Dene ka sawal kahan hai? Khush rehalo jitna bhi mila ho Baki ka koi gham nahi hai Haste gaate jhumlo tum Ye mantra apna lo tum ~ fiza

Mat dekh iin teer nazaron se mujhe ‘fiza’

Image
Kuch doston ki nazaakat aur kuch likhne ki koshish ne lafzon ko jodkar misre ka roop diya hai ....isilaah ke kabil samjhein to ganimat hogi iss nacheez per ;-) Haseen fazaa hai nazaraa bhi bandha hai Keha do to pehaloon mein samaajaoon mein? Duniya ki iss berukhi aadatan se tang Kya bahaar banker aajaaoon tumhare sang? Aasmaa.n hai neela badalon se dhakaa hua Ek tasveer ki bhanti dhaank sakoge mujhe tum? HatHelee per jaan lekar nikali hoon aaj mein                                  Lahoo jigar ka de sakoge seenchne ise tum? Mat dekh iin teer nazaron se mujhe ‘fiza’ Mukammal vaar kyun karte hein ye dil per? ~ fiza

Kal subha ka intezaar karte…!

Image
Haste baste kat gaye raste Rehate Gaate nacchte saare Gol-gol ghumate oss sang Taang khenchte marte- maarte Le masti ki chuski lete Baba ki kahani sunaate Haste –haste baste-baste Raste-raste gaate-gaate Kehate- kehate raha woh hardum Aankhon se war karte sehate Armaan jagaate pyaas badhate Dheeme-dheeme saans badhate Gulabi aasmaan ko chumte jaate Pyaar ki masti khelte- khilaate Ek dusre se ladte ladaate Waqt ke sang jagte jagaate God mein le seene se lagaate Ehasaas ki barish barsaate Shaam hui oss chand ko takhte Aaja paas hamare kehate Jalte tadapte othte baithte Sang dolte badmashi karte Yoon raat ki chadhar odhte Kal subha ka intezaar karte…! ~ fiza