Posts

Showing posts from January, 2012

Kuch ankahi see ansuni see...

Image
Kuch ankahi see ansuni see Baat hone lagi mere sang Ek shaks mila mujhe Jise Meine kaha le chalo mujhe Badalon ke oos paar chand pe Ansuni see khawaish hee Puri karne chala woh dilbar Ek hulchal see dil mein machi Kuch ankahe pal bun ne lage Kuch aur palon ke khawab banker Dil ki girah mein jakar Maano dastakh de rahe hon Kab honge ye poore ansune se Ankahe se jasbaat jo bhigo dein Ehasaaon ki barish mein humein  ~fiza

Sukhad ki bauchar abhi baki hai sajna

Image
Zindagi ki sui se bhare rang Tinke - tinke kar bhare ang Jeevan ki lakeer khenche Maano sath liye khun se ang Til til ka chubhna woh dard sa Lekin phir sundar chitra ka ban na Meetha hai iss dukhne ka bhi angna Kuch dard aur le le sathiya Sukhad ki bauchar abhi baki hai sajna ~ fiza