Posts

Showing posts from 2012

Kisi se jud gaye aise, juda hona ab accha nahi lagta

Image
Kisi se jud gaye aise, juda hona ab accha nahi lagta Nazaron se ghayal huye, thik hona ab accha nahi lagta Yaadon mein khoye, kuch aur sochna ab accha nahi lagta Khwabon mein doobte rahe, kanara ab accha nahi lagta Nazaron mein khatka aise, koi aur ab accha nahi lagta Nindein le gaya koi, raaton ko sona ab accha nahi lagta Intezar mein guzare din, kahin aana-jaana ab accha nahi lagta Sath hai zehan mein, kisi ke sath ghumna ab accha nahi lagta Harkoi bairi hai, kisi ka naam zubaan pe ab accha nahi lagta Rishte ki dor bandhi aise, khulke jeena ab accha nahi lagta Jadu hai ya deewanapan ye, sudharna ab accha nahi lagta Qatil hai mera woh, 'fiza' us se dur rehana ab accha nahi lagta ~ fiza

Aaj subha ki barsaat badi anokhi rahi

Image
Aaj subha ki barsaat badi anokhi rahi Dam-daar barasat pani ki lehar rahi Gile sadkon se paani ek taraf jami rahi Ek salone bachpan ki yaad aati rahi Bina barsati liye bhigne daudi jaati rahi Khel ek bahana tha bhigna jo chahti rahi Soccer ho ya phir kabbadi khub khelti rahi Sham pahunchte shakal anokhi rahi Acchambhit shakalein dekh hamari rahi Magar keechad se khelna bimari nahi rahi Ek nadaani jo khushiyan deti rahi Milkar dharti se lotkar barish khush hoti rahi Kaisa woh bachpan kabhi jaldi nahi rahi Der se ghar pahunchkar phatkar pyari rahi Daant ke sath tauliye se sar pochna ma nyari rahi Apne andaj mein dantna aur pyar bhi karti rahi Agle bar chaata le jaane ki salah deti rahi Phir wohi gunaah karne ki adat jo meri rahi Mithi daant ke sang sardi bhi ho jaati rahi Doctor ki mithi rangeen dawai aati rahi Jo jhat se accha kar mein mauj karti rahi Aise pyare pal barsaaton ke aati jaati rahi Kab bachpan sanwar gaya jawani aati rahi Ab ke sawan mein jo rang tha woh gulabi rahi Boo...

Deewani hui jaati hai teri ae chand mere dilbar

Image
Pukarta chala woh mujhe badalon ki god mein, Jab main sharmane lagi to odha diya badal mujhe Leharati hui hawaon se sehalane laga meri zulfein Jab jhatak kar bhagne lagi to khench liya mujhe Lajati-sharmati ose mehasus karne lagi mein dheere Jab kaskar osne tham liya bahon mein mujhe Thar-tharati hui meri saansein chalne lagi tez Jab chedha osne mere kanon ki bali sang mujhe Kanpti reha gayee aise jaise asmanjas mein Jab osne dheere se mukhper chuma mujhe Qayamat ki ek lehar uthi dil mein aise Jab ek huye hum, aisa ehasaas hua mujhe Ab to saare ilaaz kar chuke hakim-vaid Rog hai ya nahi magar le jayega sath mujhe Deewani hui jaati hai teri ae chand mere dilbar Jab dekhti hai tujhe 'fiza' takhte huye mujhe ~ fiza

Dil aaj betaab hai kuch is tarah

Image
Dil aaj betaab hai kuch is tarah Oski nazar kahoon ya meri is tarah Dhadkanein tez kar raha hai koi jis tarah Tufan mein nikalne ko machalta is tarah Sudh-budh kho chuki hoon mein ose dekh Tod har janjaal mein chal padun is tarah Samet le bahon mein mujhe mere humnawaz Ke chip jaon badalon mein sang tere os tarah Saans chalti hai dhak-dhak andhi ki tarah Chen lootkar muskurata badmash is tarah Shaleen chith shaanth mukhchin zalim is tarah Nazaron se ghayal kare labon se muskurata kis tarah Bemaut hee hum mar mite hein kuch is tarah Kya rakha hai is chaman mein jalein bhi to kis tarah Ab na roke rukta hai deewana dil ye is tarah Chale bhi aao intezaar mein baithi 'fiza' is tarah ~ fiza

Ankhon mein basi hai ek nazar

Image
Ankhon mein basi hai ek nazar Jo dil per kare hain yun basar Ojhal hone per bhi nazaron se Rehata hardum meri hee nazar Aayine sa khila chehara zaroor Aankhon ki geharayee darbadar Jhankti  sochne per karti majbur Kar deti hai deewana mujhe is kadar Saans badhti hai dekh uski qatil nazar Jeene ki aas badhaye pal marne ki kasar Ajab kissa hai khel rahe ye nazar Dil ki halat horahi hai kamzor magar Badhte armaan ho rahe faasle kamtar Nazdikiyon ka sama yaad aata hai dilbar Mulaquaton ka ho na ho silsila chala hai agar To mudke na dekhein ab kisi nazar Pyaar ki mastiyon mein gotte kha rahein humsafar Yun hee makhmali aadaon se dekhte raho dilbar Ke chaand ke bahane aajaate ho usmein nazar ~ fiza

Na jee sakegi tanha dur tumse rehake

Image
Aas mein uljha ke oss mein dubake Kya milega yun humein tarsaake? Har pal sath mere khayalon mein uljhe Suljhane kyun nahi kisi bahane aate? Khamosh nazar se yun dekhkar jalate Dil mein kyun kayee hulchul machaate? Dilon mein gud-gudi leharon sa sehalate Zubaan se kyun na ye raaz sab kholate? Chuppi tumhari kayee sitam hain dhaate Nazaron se baatein kar kyun hain sataate? Is kadar mohabbat mein mujhe duboke Kya jaan lene aaye ho tum thaanke? Chahati hai 'fiza' iss kadar dil lagake Na jee sakegi tanha dur tumse rehake ~ fiza

Uljhe huye khayaal se hain ab har palchin

Image
Palchin palchin intezaar mein kat te din Til-til main jiyun yaad mein yun tere bin Ek pal hai leharata man yadon mein nisdin Agle palchin hai yaad sataati rahun tum bin Aankhon se kehate dil ke sab raaz gin-gin Jaise hee choone aaon kho jaate ho hardin Dur se lalchaate ho meri chahat ko zalim Sochon mein kareeb jaise chandan aur nagin Uljhe huye khayaal se hein ab har palchin Itna na sataya karo baat hai ab sangin Saans chalti hai har pal jiya na jaye tum bin Rukhsat hoti hai intezaar mein har sham rangeen ~ fiza

Kal shaam har shaam jaisee na thi

Image
Kal shaam har shaam jaisee na thi Nazaron ki shararat kabhi aise na thi Woh pal sath ke aise kabhi na guzari thi Mohabbat ki boli thi magar aise na thi Uski har ada qatilana jaise kisi ki na thi Meri har nabz per jaise usi ki ravanagi thi Har saans mein uske jaise mai hi mai thi Uske har ek ishaare per mai mar-miti thi Saunp doon khud ko mai deewani jo thi Ye deewanagi koi jaani pehachani na thi Kal sham ka suraj dhala magar aag baki thi Raat to raat magar subha bhi kam jali na thi Deewanagi ki hadd hai 'fiza' jo anjaan thi Sambhalte ab na sambhale ye jaan per thi ~ fiza

Chalakta uski aankhon se woh lamha

Image
Chalakta uski aankhon se woh lamha Kaise mein kaid kar laayi yun tanha Kam lafzon se jo behaka de dariya Lafzon se nakarta raha woh pagla Badalon ke gheron sa uska aana Bin barsaat dubo dena bhigana uska Dhak-dhak dhadkan hui tez us pal  Jab soche na samjhe dil ye kyun kumhala Mein kahin bhi jaaon woh sath hai chala Jaise kisi khwab ko ratt ke dhorata chala Ek deewangi ka alam hai chala Kabhi apne to kabhi apne pagalpan pe hasa Jo bhi ho humein bhi shayad ye pyaar hua ~ fiza

Jab seene mein dil ka pata hi na tha

Image
Jab seene mein dil ka pata hi na tha Tab dil ke dukhne ka gila hi na tha  Jab dard ka sirf ehasaas hi tha Behalaane ka andaaz tab nirala hi tha   Jab katke jigar se lahoo girta tha Tab katne ka sabab kaun poochta tha? Jab dilbar ki tarah sath rehata tha Tab hasne-muskurane se woh sharmata tha Jab juda nahi jism se rehata zinda  tha Tab 'fiza' nibhaye sath fanaa jo hona tha ~ fiza

Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar

Image
Mastiyaan athkheliyan saare manjur the magar Dur rehakar saare jatan sehana nahi is kadar  Har pal jhalakta hai aankhon ka deedar mujhe Ehasaas mujhe deta hai pyaar ka rahat magar  Hijr ke pal jataate hein kitne dur ho tum Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar   Duriyan falsafe yaad dilaate hein yun rehakar Hijr ke mausam mein bhi badal barsate hein aksar  Chanda dur se dekh barsaaye hai mujh per pyaar Raat neend mein sulakar din mein takta hai yaar  Pyaar se bhara gulaabi khat he hai mera sahara Ke ab beete yaadon mein hai 'fiza' ghumshuda awara  ~ fiza

Chale bhi aao ek baar meri gali

Image
Din guzarte rehate hein yunhi Musruf hoon ke ginti hoti nahi Chaye rehate ho har pal sahi Niharte rehati hoon chehara wahi Mastiyan chalkaati khushbu pyaar ki Ke dil badmashiyan kare kayi Aankhon se jo kal baatein ki Labon ne samjhaya aaj wahi Dil ki dhadkan tez kuch hui Ishaaron se yun simati hui Musruf hoon kaamon mein yunhi Afsaana sabhi ka bhi,rona yehi Chale bhi aao ek baar meri gali Ke 'fiza' hai intezaar mein khili ~ fiza

Prakruti Ka Khel :)

Image
Neela-neela ye gagan Shwet baadalon ka liptan Geela-geela neela-neela Behata paani sa badan Bhura-bhura ye zameen Paas ho kar bhi pyaasa Ek pal lage ose bhigodoon Paas jakar pyaas bujhadoon Sochon mein hai ye nazdikiyaan Dekhoon to koson hain duriyaan Dilon ki baaton ka kya hai kehana Duriyon mein bhi aata hai pyaar basaana Chahe rahein dur chahe rahe paas aashiyaana ~ fiza

Kal raat kali chadar odhe

Image
 Kal raat kali chadar odhe  Angadaiyon ke silvaton mein  Dur khila sa chaand dekha Badalon ki dhundhlahat mein Pedon ke ghane chaanv mein Tum aaye kuch yoon kareeb se Aahon ki laptein othin jhat se Jal jaoon is pal mein mai Tum sang aise mil jaaon pighalke Na fark rahe chaand aur chaandni mein Jab bhi koi humein dekhe gaur se Mein tum mein aur tum mujh mein samaye aise Dur neel gagan mein taaron ke gaon mein Kuch din thehar ke yun hee mil-julke Geet gayein sang milan ke Khwabon ki ladiyaan piroke Kuch tum chun na kuch mein chunungi Geet-sangeet ki dhwani bankar Anant kaal mein goonj oothungi Jab bhi pooranmashi aaye Mere sang mera chaand bhi aaye Pyaar ke aagosh mein rehakar Is jag mein roshni phailaye   ~ fiza

Uski Nazarein ;)

Image
Hum apne dinchrya zindagi mein kitne hee logon se milte hein aur kitno se to sirf nazarein hee milti hein aise milne -milaane mein kab kahan kaun dil ke gharonde mein bas jaata hai ye to shayad khud dil bhi nahi jaan paata :) aise hee ek jasbaat ko pesh karne ki koshish.... Kisi ko dekh seene ki dhadkan tez hogayii Uski nazarein mujhe der tak ghurti rahii Dil machal ootha anayaas hee sahi Der tak uski nazarein peecha karti rahii Uss gadbadahat mein na jee bhar dekh payii Nazaron se jo khenchi tasveer wohi le aayii Dur tak saath diya unn nazaron ne mera Musruf rakha har pal apne khayaalon se hii Dil ke armaan machale huye se tadpa gayii Tasveeron mein hee jee bhar pyaar kar payii Armaano ke phulon se sajaya khwab kayii Bairan ab ye mann gaati hai dhun uske kayii Ab ye alam hai unn nazaron se ghayal kya huii Mujhe to raas koi na aaye 'fiza' ab bas wohii ~ fiza

Intezaar mein hoon kab aaoge mere angana...

Image
Kal sham tumhein dekh bahut socha Kyun mein tumhein chahoon itna Phir gaur farmaaya oon aankhon per Kitne pyaar se dekhte ho tum mujhe Jahan sirf pyaar hee pyaar nazar aaye Na kabhi daantna-phatkaarna mujhe Durr se bas dekhkar mujhe Kar dete ho pyaar mein tallin mujhe Kheench lete ho bina dor apni orr Tadapta yoonhee mujhe yahan chor Shaleen mann se dekhna meri orr Aur ye kehana mujhe har pal har roz 'Chorunga nahi jab kabhi mile mauka Dil kholkar pyaar tumhein mein dunga Bhul jaogi kabhi mein chaand hoon Dur gagan se niharta raha hoon Chanchal hasi aur badmashiyon mein Kabhi tumne bhi mujhe pagal kiya Chaand hone ka dukh tab us pal hua Lekin mein phir bhi wada karta hoon Chahoonga tumhein raat din yunhee Tum isi tarah barsaate rehana pyaar Niharte rehana mujhe pyaar se har raat Jis din aajaoonga bahon mein tumhare paas Hosh uda doonga pagli tumhare mere sath'  Aaj mein un baaton ko yaad karoon chanda...

Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen...

Image
Bechen raatein aur din mayusiyon sa Tum bin mora jiya saiyaan lage na kaheen Behala-phuslakar dekh liya har palchin Becheniya badhti hai na dekhun jo kaheen Chip jaate ho badaliya mein dekh mujhe Pareshaan dekh maze lete ho waheen kaheen Ye jaankar bhi kitna sneh hai mujhe tumse Jhalkiyon mein milte ho hamesha tum yaheen Amavas ki raat jo na tum aao nazar mujhe Kam se kam baahon mein le lena kaske vaheen Na dekhun kayee din to dil dhadakna band karde Jeene ki phir koi vajah aati nazar naheen Kal raat jab nazaron se teer chalaya tumne Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen Kayal hoon deewani bhi aur pagal sanam mere Kis kadar bas gaye ho tum mujh he mein kaheen Aajkal mein bahut khush hoon na jaane kyun Dekh 'fiza' chaand ke tukde ko judta waheen ~ fiza

Zindagi se wafa khair, bekaar lagta hai

Image
Dil aaj kuch yun mayoos sa lagta hai Har koi bewafaa aur khudgarz lagta hai Kabhi pyaar ka izhaar jhootha lagta hai Apna kaam ho phir barbaad sa lagta hai Dikhave ka tevar cham-chamata lagta hai Andar se magar sab khokla lagta hai Lathi bankar sahara diya aisa lagta hai Chalte he wohi lathi sar par lagta hai Jeene ka kuch tarika aisa lagta hai Har koi istemaal karne wala lagta hai Ab to jism-o-jaan bhi paraya lagta hai Zindagi se wafa khair, bekaar lagta hai ~ Fiza

Woh chaand hee to sehalaye mujhe

Image
Aaj dil phir toota kisi gali mein Humne phir joda ose samjha-bujhakar Is baar magar dard kam na hua 'Fiza' Dil se dard kaheen aur nikal chala Waqai dard seene mein na basar kar saka Gali-gali bhatakta shareer mein woh Apni suraakh banata hua chala woh Khokla kare pehale se zamaana idhar Ab bacha kucha halla kare woh rehaguzar Din chadhe aur dhale jab ugta suraj Woh chaand hee to sehalaye mujhe Khush hoon mein aaj oski nazar mein Apni pehachani jaati hoon is yug mein   ~ fiza

Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai

Image
Dil ki dhadkan tez hui jaati hai Sham ko jab teri yaad chali aati hai Din dhalne per aankhein khwab bunti hain Chaand dekh meri raat rangeen ho jaati hai Tera yun sataana accha lagta hai Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai Kis kis se tera thikana poochti hai Dil ab kaheen doob jaana chahta hai Aankhon mein kho gaya koi kajal hai Teer chalata magar 'fiza' koi aur hai ~ fiza

Iss pal ko jee lo jaise sarang

Image
Dil mein kayee hain bhare rang Kheloon mein holi kis sang Badalon ke naye naye dhang Roz kare mujhe chaand tang Din-raat ki sudh hui bhang Ab to sapno mein bhi hai jung Tum kyun nahi milte abhang Chanchal nain jaise tarang Seene mein dabe dabaang Palchin ko tarse malaang Ek dhunki per nikale ye umang Iss pal ko jee lo jaise sarang Phudakti nachti oske sang ~ fiza

Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein...

Image
Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein Jahan lafz band ho jaye jehan mein Dhadkano ki awazein sunayein geet Ek ajeeb see khushi kaheen mann mein Gud-gudi see kisi ke aane ki aahat sunn Kare hulchul mann mera chanchal beimaan Natkhat kare ishaare Aankhon se meri jaan Ghulkar bhi jo bani rahe pyaas Aisa hai ye badmsat pyaar! ~ fiza

Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan

Image
Kyun hota hai pyaar ye sochkar thi pareshaan Ehasaas hua hai ye Uss se durr rehakar  Pyaar na chahe beshaq zindagi ko baar baar Zindagi chaahati hai ho pyaar beshumaar Virah ki ghadi kis kadar gumraah kar deti hai Beemar ka haal accha hai jo pad gayee Ek nazar Rukha sa be-jaan jism chalta-phirta hai idhar-udhar Jeene ke rang bhar deta hai ek mulaqat mukhtasar Jo ab tak the musrufiyat ke jaal mein chipe huye Hulchal sii macha rahe zehan mein Harpal har mod per Yun hota hai pyaar ye jaana, aaj mehasoos kiya meine Dil betaab aur behaal hua jaata hai oske khyaal per Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan 'fiza' bebaak see rehagayee armaanon ke bahaav per ~ fiza

Kisi roz hum bhi aajayeinge iss toofaan ki girafat mein meri jaan

Image
Jab tak chipa hai baadalon mein chaand Tab tak rehati hai dil mein utsukta meri jaan Adh-dhaka chehara aur adh-khuli chitthi Taraste hein jalim ladke padhne meri jaan Jitna bhi khule kam hai badali mein ya parde mein Chaand to chaand hai chehra to aapka hai meri jaan Dhaki palkon se woh aankhein chahe kuch kahein ya sochein Jab ghurti hain to saayein –saayein karti hein dil mein meri jaan Aise hee adh-khuli see baatein aur ehasaas jalti-bujhti hui see Jab izhaar karein dil kholkar tab kareeb hone se darte hain meri jaan Milne ki aas aur paani ki pyaas jaise tilmila dete hein har kisiko Saamne dekhkar dil pagla jaaye khushi se kya karein kya na karein meri jaan Jis tarah lu sametleti hai poore shehar ko apne giraft mein Kisi roz hum bhi aajayeinge iss toofaan ki girafat mein meri jaan Jhulas raha hai boond boond paani garam tave per jaise Osi tarah jhulaste hein mere armaan dil mein pighalte huye meri jaan ~ fiza

Tum chaand ko dekho wohi to mein hoon

Image
Kal uske aane ki taiyaari mein Subha – sham ek kar diya meine Sochte har dum khayaalon mein Ek roz guzaar diya meine Jab nikal aaya woh badalon se Mai soch mein pad gayee dekhne Kabhi ose to kabhi ise mein dekhoon Tilmila ootha dil, chehare jaise aayeene Oski halki ek muskaan ne jaise Le lee ho meri jaan, dhadkano ne Tum chaand ko dekho wohi to mein hoon Un nazaron se teer chalaya hum per usne Dil jhum ottha oss pagle ki baton per Chand ki chandni mein ranga mujhe usne Kabhi mein ose dekhoon kabhi mein ise Kis tarah begana kar diya mujhe sabse usne ~ fiza

Dost ko dil se to tu na juda kar sakega...

Image
Zindagi ka naam hai chalte rehana Waqt ke sath kapde badalte rehana Rooh ka ye khel bhi ajeeb hai, behana Ek shareer se dusre mein hai jaana Rooh ka yun kisi se bhi jud jaana Kitna ajeeb hai zindgai tera ye khelna? Zindagi ke khel bahut hain nirale Ek pal badhayee, ek pal bidayee Kis taraf ka rukh dekhein Eh! Zindagi? Dost ko dil se to tu na juda kar sakega Majbur tu chahe kitna bhi kar le, Zindagi!!! ~ fiza

Meri beti 13 ki hui .. :)

Image
Ek nanhi kali thi jab tak  mein Tab tak nathkhat hee thi mein Jab ek din pata chala koi hai Jo hai mera vistaar mujhi mein Ek lagav sa apne hone ka hua Vistaar ka roopantar 17 april ko hua Maan kaha to kabhi Vaama kaha Meine to sirf yehi samjha Meri vistaar hai, meri saheli hai Khelne ke liye ek khilona hai Acche-bure mein sath dene wali Vistaar mere ang ka hai Pyaar dulaar mein pali padi Apne se bhi bhali lagi Haan meri hee vistaar sahi Meri beti 13 ki hui J Bachpan se meri saheli rahi Ab jaise meri paheli hui Kab ye saheli badi hui Kandhe se mere laangh gayee Khubsurat kali ban gayee Kahe log mujhe pareshaani hui Mein kahoon ye to sayani hui ;) Meri vistaar jawan hui Meri bhi umr kam hui Ab mein bhi vistaar bani Dosti ka ye alam hai aaj Aisee ek nadi behane lagi Mere jeevan se judkar pali Har sukh-dukh ki sathi hui Do sakhi hain ya do behane? Mohe to woh bas mein hee lagi J Duaon se meri jholi bhari Sang mer...

Rok na sakoon ehasaason ko aaj mein

Image
Beete na bitaye lambe ye din Un bin kaheen lage na jiya mera Dur jaane ki khabar se hee tadap utha Virah ke din kis haal mein beetega Roj na mile mere bairan nain unse Phir bhi khush tha ye mann dur se Jab se jaane ki khabar suni hai unse Bechen ye mann rehane laga tabse Jaise-taise kaate pal virah ke kuch din Jhum otha mann sunkar khabar aane ki Rok na sakoon ehasaason ko aaj mein Kisi tarah unse ho mulaquat aaj meri Shayad mai na rahoon kaboo mein Chod laj-sharam jaise sautan mere Seene se lagke kehadoon jasbaat mere Ho na ho mein hoon deewani tumhari Kuch na maangoo tumse aaj bas itna Jab bhi jaana apne sang le jana mujhe Kat jayenge raste haste khelte yunhee Zindagi ke pal hote hee hain kam kitne Jo virah mein bita doge dur rehakar To hum jiyenge sang kab dono milkar? ~fiza