Shringar Ras Mein Kaamdev Ka Vyasan
Raat kali chadar odhe Woh singar kare laal jode Mathe per laal chand liye Woh gori ladi zevaron se Hath mein le pyala khadi dur se Rahi ki pyas bujhane waaste Jab jhuki laj se ghungat mein Pyaase ki pyaas aur badhi dil se Woh saaj-singar mein kho gaya Kab oski ankhon ka teer chal gaya Dil ke ghav ko na sehan kar saka Pyaar se karkamlon ko chua osne Bijli see daudi oske tan-mann mein Laaj-o-sharm se pagal hui deewani Shringar mayee tan-mann se Laaj mein khoyee sud-bud apna Tan se gira aanchal farsh per Honi ko na woh taal saki jaise Jhat se rok liya oos pal ko Asmanjas ke dwand mein sahi Dono aalangit huye parchayee se Shringar ras mein kaamdev ka vyasan Iss chaupaayee ke paatra wohi hain Aalingan se prasanna kaamdev Jab do dilon ka Milan hua Pyaar ke iss nazuk mod per Do shareer ek mein badle Jab oske mathe ka chaand Halka bikhra bistar per mila Safed chadar ki laalima ne Keha daali do dilon ki dastaan Sneha ki b...