Na-milkar bhi juda nahi hain - Meri Parchayee
Insaan kayee baar apne aapko akela samjhkar bhi ek baat zaroor jaan leta hai ke woh akela nahi hai kyunke koi nahi to ooski parchayee sada osi ke sath rehati hai ...bas waqt-be-waqt woh aati jaati rehati hai ....aise hee jasbaat kuch yahan piroye hain... ;-) Do dil ek jaan hain Magar yun bhi Mere saaye ki tarah Mere sath ho tum bhi Mere andar ki baatein Sab jaante ho tum Mujh mein rehakar Sab mehasus karte ho tum Itna sab warna Kaise pehachaante ho tum Mere andar samakar Parchayee see nikalkar Mujhe mere hee roop se Milvaate ho tum Ek muskurahat per sab Kurbaan kar dete ho tum Kaise ye sab kar lete ho Parchayee bankar reha lete ho Mere sochne se bhi pehale Tum meri chaah jaan lete ho Iss kadar koi Do jaan ban sakta hai? Sawal yehi oothta hai lekin Jab dil se dil ki raah ho Kaise mein na kahoon Tum meri parchaayee ho Mere sang -sang chalte ho Dur se dekhkar mujhe Mujh hee se milaate ho Kaisa sanjog hai ye Na-milkar...