MashaAllah! Ye Bhi Kya Baat Hui!!!
Kayee baar hum bahut see khushiyon mein sahi khushi ko bhula dete hein aur jab sahi khushi ka ehasaas hota hai tab jeevan ke khokle pan se rabta parta hai... :) insaan ki khushi oski choti-moti aur aas-paas ke logon aur rishton se banti hai, na ke paise, mahal aur matlabi pan se....aise hee gehare ehasaas liye prakriti ka sahara liye kuch likhne ki koshish.... Mujhe jannat mili naseeb se Oski dua kabool hui Aur ose mein mili MashaAllah! ye bhi kya baat hui! Barson se tadapti-ladkhadati see Patharon se takrati hui Oske sagosh mein namra hui MashaAllah! ye bhi kya baat hui! Behata hua paani patton se bhara Dekhne mein pyaas se murjhayi hui Tinke se khushi barkarari MashaAllah! ye bhi kya baat hui! Sab mitti mein mil jana hai Khet Khaliyan, behati dhara sahi Par milo to aise na farak mehasoos ho MashaAllah! ye bhi kya baat hui! ~ fiza