Ye Jannat kaisa hota hai?
Zindagi mein aap khwab dekhte ho jo kabhi kabhi aap haqiqat mein jeete ho :)! Aur isi jhunjhulahat mein khwab aur haqiqat aapko do aise rang mein le aate hein ke aap soch mein pad jaate ho ke aakhir woh tha kya? Ek choti see koshish... Jannat ki ser kise kehate hein meine bhi ye khwab dekha Kuch-kuch khwabon jaisa to kuch khwabon se bhi accha Raaste ke mod per kaheen Peepal ki dhandi chaanv tale Kuch der tham kar socha Yehi hai woh jannat jaisa? Jise meine khwabon mein dekha? Dur se oodti titali aayee Boli pal bhar mein mai urr jaoon Jitna tum behalalo jee per Khwab to Khwab hee hai aakhir Sehar ke aate ooth jana tum Mein bholi kuch na jaani Khwab ko haqiqat samjhi Jivan ki sui-dor se bun ne lagi Jo kabhi na judi kaheen se Is pal ko jivan se jodne lagi Nisha ki woh kaali raat bhi aayee Jivan ki kaali khari tasveer liye Woh bun ne lagi jaise makadi ka jaala Dheere dheere phaans liya makade ne Shikaar hogayee, ek aur khoon ho gaya Sach hee...