Posts

Showing posts from June, 2010

Par hum to kabhi nahi mile

Image
.......... Hum chaukhat se ruksat huye aise Jaise lage kabhi nahi hum mile Duriyon ko aur dur karein ke Jaise lage kabhi nahi hum mile Chahatein, ulfatein, sapne sanjoye Lekin hum kabhi nahi mile Kis - kis tarah dekhe sapne Par hum to kabhi nahi mile Aarzoo on mein kaise beeta waqt Haan lekin hum kabhi nahi mile Chand phisale huye pal zindagi ban gayee Lekin phir, Jaise lage kabhi hum nahi mile Soch mein Hai fiza aaj bhi kaise… Aise, Jaise lage kabhi hum nahi mile ~ Fiza

Kash-ma-kash mein padi fiza

Image
Kehate hein aksar duriyaan insaan ko paas laate hein. Kabhi kabhi duriyan dur rehane ka sabab bhi ban jaate hein...dono suraton mein paas aur dur jaane ka dar bana rehata hai. Lekin jab duriyon ke baad phasle kam ho jaate hein tab...ka haal kuch asmanjas mein hee daalta hai...kambhakt ye pyaar kyun hota hai? Usha se Nisha tak mastishk mein chaye ho Duriyone kya sitam kardiye Jo paas aakar sambhle nahi ho Ye kaisee kashish hai Kya deewanapan kar rahe ho Dil mein toofaan sa machalta Ek behaav sa kyun khench rahe ho Tum dur nahi the wohi thik tha Yoon tadpaane kyun lage ho Theharaav se bhari zindagi thi Kahaan se aakar khalbali macha rahe ho Kasauti ki baandh banayee thi Ye toofan se kyun oose tod rahe ho Ab sambhalna Vash mein nahi To kyun mujhe nasihatein dete ho Kash-ma-kash mein padi fiza Pooche iska koi to hal ho? ~ Fiza