Posts

Showing posts from March, 2014

Mehakati hai 'fiza' hariyaali mein anayaas

Image
Bhiga mausam bhige hain ehasaas  Aankhein barse phir bhi hai pyaas Geele hein raste kankad hain aas-paas Sambhale to kis-se bhigne ka hai aabhas Taruvar mein hai jeevan, patton ka nivaas Barkha ki fuhaar, bosa de armaano ka  hasaas Bhiga hai mausam bhige hain ehasaas  Aankhein barse phir bhi adhuri hai pyaas Mehakati hai 'fiza' hariyaali mein anayaas Milan ki aas mein jagaye rakhe wohi pyaas! ~ fiza

Zinda rakhti hai zindagi bhi...!!!

Image
Zindagi tujh se roz milte hain bichadte bhi Raat ke baad subha ho jaati hai tab bhi Maano koi ek jhooti aas hee sahi Zinda rakhti hai zindagi bhi Khel naye deekhati hai kabhi Na khelo to maza chakhati hai badi Ismein jo phans gaya so reha gaya Tadap ke jhulus ke zinda rahe tab bhi Nazariya jo bhi rakho zindagi hai abhi Bas juda hoke rehana hamesha  Jaise raat aur subha bhi! ~ fiza

Barasta paani jaise lori sunaye koi!!!

Image
Barasta paani jaise lori sunaye koi,  Dhun aisee jaise sangeet bajaye koi,  Mann chanchal bawla athkheliyan kare koi,  Pyaas dil mein jagaye milne ko bechen koi, Bhuli-bisri yaadein agan jagaye jaise koi, Sulagta hua dil yaad mein tadapta koi, Dheemi boondein sehalata jaise koi, Needon mein palkein moondkar khawab koi, Dekhoon oos or jahan khula maidan koi, Daudti hui befikr jhoomein ladki koi, Ye dekh "pagal" kehata hai use koi, Barasta paani jaise lori sunaye koi, Dhun aisee jaise sangeet bajaye koi!!! ~ fiza