Ek khumaar sa layi hai sehar per barkha .. !
Suna hai kal raat jamm ke barsi thi barkha Ek khumaar sa layi hai sehar per barkha Khumaar (hangover) Dhund jaise baadal bikhari to meine dekha Ho na ho ye jamaal sehar per layi hai barkha Tan-man mein sulagti hui aag lagi hai jaana Mere dil mein angadaiyaan khelti hain barkha Bahake huye khayaal mitha dard de gayi barkha Deewane nikahaton ko gud-gudagayi barkha nikahaton (fragrance) Zulfein bikher kar pehalu mein aayi barkha Ji karta hai shaam-e-abad tak ho barkha shaam-e-abad (unending evening) Havaas mein romanchak sa aa base barkha Aisa haal ‘fiza’ ka koi aur nahi kare hain ye barkha! Havaas (sense and sensibility) ~ fiza