Posts

Showing posts from August, 2012

Jab seene mein dil ka pata hi na tha

Image
Jab seene mein dil ka pata hi na tha Tab dil ke dukhne ka gila hi na tha  Jab dard ka sirf ehasaas hi tha Behalaane ka andaaz tab nirala hi tha   Jab katke jigar se lahoo girta tha Tab katne ka sabab kaun poochta tha? Jab dilbar ki tarah sath rehata tha Tab hasne-muskurane se woh sharmata tha Jab juda nahi jism se rehata zinda  tha Tab 'fiza' nibhaye sath fanaa jo hona tha ~ fiza

Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar

Image
Mastiyaan athkheliyan saare manjur the magar Dur rehakar saare jatan sehana nahi is kadar  Har pal jhalakta hai aankhon ka deedar mujhe Ehasaas mujhe deta hai pyaar ka rahat magar  Hijr ke pal jataate hein kitne dur ho tum Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar   Duriyan falsafe yaad dilaate hein yun rehakar Hijr ke mausam mein bhi badal barsate hein aksar  Chanda dur se dekh barsaaye hai mujh per pyaar Raat neend mein sulakar din mein takta hai yaar  Pyaar se bhara gulaabi khat he hai mera sahara Ke ab beete yaadon mein hai 'fiza' ghumshuda awara  ~ fiza