Posts

Showing posts from June, 2012

Intezaar mein hoon kab aaoge mere angana...

Image
Kal sham tumhein dekh bahut socha Kyun mein tumhein chahoon itna Phir gaur farmaaya oon aankhon per Kitne pyaar se dekhte ho tum mujhe Jahan sirf pyaar hee pyaar nazar aaye Na kabhi daantna-phatkaarna mujhe Durr se bas dekhkar mujhe Kar dete ho pyaar mein tallin mujhe Kheench lete ho bina dor apni orr Tadapta yoonhee mujhe yahan chor Shaleen mann se dekhna meri orr Aur ye kehana mujhe har pal har roz 'Chorunga nahi jab kabhi mile mauka Dil kholkar pyaar tumhein mein dunga Bhul jaogi kabhi mein chaand hoon Dur gagan se niharta raha hoon Chanchal hasi aur badmashiyon mein Kabhi tumne bhi mujhe pagal kiya Chaand hone ka dukh tab us pal hua Lekin mein phir bhi wada karta hoon Chahoonga tumhein raat din yunhee Tum isi tarah barsaate rehana pyaar Niharte rehana mujhe pyaar se har raat Jis din aajaoonga bahon mein tumhare paas Hosh uda doonga pagli tumhare mere sath'  Aaj mein un baaton ko yaad karoon chanda...

Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen...

Image
Bechen raatein aur din mayusiyon sa Tum bin mora jiya saiyaan lage na kaheen Behala-phuslakar dekh liya har palchin Becheniya badhti hai na dekhun jo kaheen Chip jaate ho badaliya mein dekh mujhe Pareshaan dekh maze lete ho waheen kaheen Ye jaankar bhi kitna sneh hai mujhe tumse Jhalkiyon mein milte ho hamesha tum yaheen Amavas ki raat jo na tum aao nazar mujhe Kam se kam baahon mein le lena kaske vaheen Na dekhun kayee din to dil dhadakna band karde Jeene ki phir koi vajah aati nazar naheen Kal raat jab nazaron se teer chalaya tumne Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen Kayal hoon deewani bhi aur pagal sanam mere Kis kadar bas gaye ho tum mujh he mein kaheen Aajkal mein bahut khush hoon na jaane kyun Dekh 'fiza' chaand ke tukde ko judta waheen ~ fiza

Zindagi se wafa khair, bekaar lagta hai

Image
Dil aaj kuch yun mayoos sa lagta hai Har koi bewafaa aur khudgarz lagta hai Kabhi pyaar ka izhaar jhootha lagta hai Apna kaam ho phir barbaad sa lagta hai Dikhave ka tevar cham-chamata lagta hai Andar se magar sab khokla lagta hai Lathi bankar sahara diya aisa lagta hai Chalte he wohi lathi sar par lagta hai Jeene ka kuch tarika aisa lagta hai Har koi istemaal karne wala lagta hai Ab to jism-o-jaan bhi paraya lagta hai Zindagi se wafa khair, bekaar lagta hai ~ Fiza

Woh chaand hee to sehalaye mujhe

Image
Aaj dil phir toota kisi gali mein Humne phir joda ose samjha-bujhakar Is baar magar dard kam na hua 'Fiza' Dil se dard kaheen aur nikal chala Waqai dard seene mein na basar kar saka Gali-gali bhatakta shareer mein woh Apni suraakh banata hua chala woh Khokla kare pehale se zamaana idhar Ab bacha kucha halla kare woh rehaguzar Din chadhe aur dhale jab ugta suraj Woh chaand hee to sehalaye mujhe Khush hoon mein aaj oski nazar mein Apni pehachani jaati hoon is yug mein   ~ fiza

Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai

Image
Dil ki dhadkan tez hui jaati hai Sham ko jab teri yaad chali aati hai Din dhalne per aankhein khwab bunti hain Chaand dekh meri raat rangeen ho jaati hai Tera yun sataana accha lagta hai Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai Kis kis se tera thikana poochti hai Dil ab kaheen doob jaana chahta hai Aankhon mein kho gaya koi kajal hai Teer chalata magar 'fiza' koi aur hai ~ fiza

Iss pal ko jee lo jaise sarang

Image
Dil mein kayee hain bhare rang Kheloon mein holi kis sang Badalon ke naye naye dhang Roz kare mujhe chaand tang Din-raat ki sudh hui bhang Ab to sapno mein bhi hai jung Tum kyun nahi milte abhang Chanchal nain jaise tarang Seene mein dabe dabaang Palchin ko tarse malaang Ek dhunki per nikale ye umang Iss pal ko jee lo jaise sarang Phudakti nachti oske sang ~ fiza

Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein...

Image
Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein Jahan lafz band ho jaye jehan mein Dhadkano ki awazein sunayein geet Ek ajeeb see khushi kaheen mann mein Gud-gudi see kisi ke aane ki aahat sunn Kare hulchul mann mera chanchal beimaan Natkhat kare ishaare Aankhon se meri jaan Ghulkar bhi jo bani rahe pyaas Aisa hai ye badmsat pyaar! ~ fiza