Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan
Kyun hota hai pyaar ye sochkar thi pareshaan Ehasaas hua hai ye Uss se durr rehakar Pyaar na chahe beshaq zindagi ko baar baar Zindagi chaahati hai ho pyaar beshumaar Virah ki ghadi kis kadar gumraah kar deti hai Beemar ka haal accha hai jo pad gayee Ek nazar Rukha sa be-jaan jism chalta-phirta hai idhar-udhar Jeene ke rang bhar deta hai ek mulaqat mukhtasar Jo ab tak the musrufiyat ke jaal mein chipe huye Hulchal sii macha rahe zehan mein Harpal har mod per Yun hota hai pyaar ye jaana, aaj mehasoos kiya meine Dil betaab aur behaal hua jaata hai oske khyaal per Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan 'fiza' bebaak see rehagayee armaanon ke bahaav per ~ fiza