Ek dor see bandhi hai beech...
Rangat os gulab jaise, Gaalon ki khusboo se Aankhon se baatein karna Kajal se bhare naino ka Bolna phir sharma jana Kis ada se woh dur rehati bhi Apni hasi se mujhe paas bulati Aur dil dhadkakar ghum ho jaati Is ghum hone aur milne ke beech Jo fasla mujhe zinda rakhti Osi ke duaon ki hai ye jhalki Ek dor see bandhi hai beech Jo mujhe khenchti hardam Mein milne ko tarasoon to Woh bahane ko tarase marham Chot sambhal bhi jaaye lekin Milkar juda hote hain humdum Harpal hai ek jeena aur marna Ek sukhad jeevan ki aas hai Bicharna aur yoon milna Oski rangat, meri aankhein Oska hasna aur mera hasana Ek pal ke liye jag ko bhulana Ankahi baatein bayan karna Dil ki dharkan boond jaise Tup-tup-dhum-dhum aise Barsaye pyaar os per jaise Sangam ki shuruwaat phir se ~ Fiza