Posts

Showing posts from February, 2011

Na mukar jana kisi mod per aakar...

Image
Ek dost ke janamdin per dil se duayein hee nikalti hein aur aise mein kavita likhne ki farmaish bhi kee jaaye to janab kuch maange bager to reha nahi sakta ye kambakht dil ;-) Ek kavita tumhare janamdin per Taufa kabool farmaiye per Jo maangein hum tumse to Na mukar jana kisi mod per aakar Ye hasta hua chehara khila rahe Na aanch aane de iss muskaan per Ye wada aaj hum se karein Na mukar jana kisi mod per aakar Umeed se bhari muskaan apni Jeene ki aas badhayein sabhi ki Dhadkan bani rehana yoonhee onki Na mukar jana kisi mod per aakar Dil se yehi dua nikalti hai aaj Tum raho aabaad aur khushaal Maanga hai oos khuda se bhi yehi Na mukar jana kisi mod per aakar ~ fiza

Hawa ke zhonke sa...

Image
Ek ehasaas jise keval mehasoos hee kiya ja sakta hai...jiski hone ki kabhi khabar pehale se nahi hoti...lekin jab ye ehasaas ki anubhuti ka pata chalta hai tab tak ehasaas ek atki hui saans ki tarah dil mein phansi rehati hai aur tab...kya kya sochta hai insaan...ek koshish ... Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Pal bhar ke liye hee sahi Jee mein sau tarangon ka aana Is pal ko mein jee loon ab Sau jeevan kurbaan sahi Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Mere dil se athkeli karna Phir sapno mein chali aana Aankh khulte hee jaise Khusboo see ood jaana Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Dil ke armaan huye bekaboo Zhonkon sa aana jaana Khusboo phailakar ghum ho jaana Aur na khelo ankhmicholi Hawa ke zhonke sa Oska aana aur phir jaana Ab ke aao to band kar loon mein Seene se, dil ki geharayee mein Khusboo sa ehasaas hee sahi Banke meri subha tum rehana Hawa ke zhonke sa hee sahi Tum aana aur phir kabhi na jaana   ~ fiza

Makhmali ghas per letkar...

Image
Subha ki dastakh aankhon ke darwaaze per jab aati hein to kaise kaise khayaal dil mein aate hein...ek anayaas ...ek pal mein aane wale kayee khayaal aur sawaalon...ki jumbish ko pesh karne ki koshish.... Makhmali ghas per letkar Oopar neele aasman ko dekhkar Main sochne lagi suraj ko dekhkar Kitne haq se aakar rehalete ho jahaan mein Roshni kisi aur ko dekar Kone mein ghar banakar Duniya ko chakma dekar Kaise neend oodakar Hulchul si machakar Chip jaate ho sham ko Dekar ilzam chaand ko Woh sehama sa shanth sa Kuch na kehata ghumsum sa Sab kuch dekhkar bhi Kuch na kehata akela sa Dur se roshni ki chamak dekar Apni khubsurati ki dastaan sunta Makhmali ghas per oos ki boondein Sej sajakar mano keha rahi hon aise Lipatkar, simatkar tu khwab saja aise Jise tu jee le neend mein phir kal Suraj ko aana hai tujhe oothane Kuch tang karne to kuch housla dene Makhmali ghas per letkar Oopar neele aasman ko dekhkar Main sochne lagi suraj ko dekhkar ~ fiza