Gol Gol Chanda!
Chand ko logon ne alagh alagh roop mein dekha hai jaana hai aur iski upma anek tarah se suna aur padha bhi hai. Mujhe hamesha chaand ek akela musafir hee laga...jo aur ke liye jalta, chalta rehata hai aur auron ko manzil tak pahunchakar phir nikal padta hai apne akele safar mein...mein aksar chand ke dard ko mehasoos kar jaati hoon apne hee tarike se... kuch armaan nikal aaye mere jab meine aasmaan mein gol gol bada chaand dekha... mere zehan ki thakaan mano pani pani hogaya dekha jo aasmaan mein gol gol chanda muskurahat ki lehar jaise phaila gayee ho roshan chandni chehare per gol gol chanda mein nikali lekar gaddi woh chala phir mere peeche balkhate to kabhi chip-chipaate gol gol chanda har baar woh dekhta aise kabhi pedon ke peeche se to kabhi raaste ke khambon se gol gol chanda Jo mein so jaaon thak kar Phir bhi woh jagta rahe neend chadhne tak mujhe sehalaye gol gol chanda ~ fiza