Wednesday, March 14, 2012

Jhil-mil jhil-mil karti boondein


Jhil-mil jhil-mil karti boondein
Tap-tap karke girtin rehatiN
Ek-ek karke chehare per
Maano mujhe cher rahiN
Kab mein machal kar
Lapak kar pakadoon
Oonki bahon ko thamuN
Le chalo mujhe bhi sang
Awaraa badalon ke sang
Kaheen dur jahaan ghata
Jamein aur barsein ek sath
Mein bhi bhigungi onke sath
Sar-sar barish ki boondon se
Tan-mann bhigo ke aaj
Holi tum sang kheloongi
Saanson se saanson ki dor bandhke
Le bharun aaj umangon ke sang
Bahon mein jakadkar jaise
Tum sang phir nayee preet rachaooN
Khelun prem-sangeet Milan
Bhigkar jab mein sikud jaoon
Tum bahon mein bharlena
Apni garmi dekar meri thand dur kar dena sajan
Jhil-mil jhil-mil karti boondein
Tap-tap karke girtin rehatiN
Ek-ek karke chehare per
Maano mujhe cher rahiN

~ fiza

1 comment:

Nisha said...

Mein Shayar Toh Nahi...Gustafi Maaf Karna....

Na Rokna Apne Aap Ko Aaj
Bahut Tadpe Hain Tumhare Intezaar Mein
Yeh Chand Sitare Ko Bhi Saath Lekar Aaj
Barso Iss Tarah Ke Koi Umang Baaki Na Rahe Jaaye

Jhil-mil jhil-mil karti boondein
Tap-tap karke girtin rehatiN
Ek-ek karke chehare per
Maano mujhe cher rahiN

अच्छी यादें दे जाओ ख़ुशी से !

  गुज़रते वक़्त से सीखा है  गुज़रे हुए पल, और लोग  वो फिर नहीं आते ! मतलबी या खुदगर्ज़ी हो  एक बार समझ आ जाए  उनका साथ फिर नहीं देते ! पास न हों...