Saturday, September 29, 2012

Na jee sakegi tanha dur tumse rehake





















Aas mein uljha ke oss mein dubake
Kya milega yun humein tarsaake?

Har pal sath mere khayalon mein uljhe
Suljhane kyun nahi kisi bahane aate?

Khamosh nazar se yun dekhkar jalate
Dil mein kyun kayee hulchul machaate?

Dilon mein gud-gudi leharon sa sehalate
Zubaan se kyun na ye raaz sab kholate?

Chuppi tumhari kayee sitam hain dhaate
Nazaron se baatein kar kyun hain sataate?

Is kadar mohabbat mein mujhe duboke
Kya jaan lene aaye ho tum thaanke?

Chahati hai 'fiza' iss kadar dil lagake
Na jee sakegi tanha dur tumse rehake

~ fiza

Friday, September 21, 2012

Uljhe huye khayaal se hain ab har palchin


Palchin palchin intezaar mein kat te din
Til-til main jiyun yaad mein yun tere bin

Ek pal hai leharata man yadon mein nisdin
Agle palchin hai yaad sataati rahun tum bin

Aankhon se kehate dil ke sab raaz gin-gin
Jaise hee choone aaon kho jaate ho hardin

Dur se lalchaate ho meri chahat ko zalim
Sochon mein kareeb jaise chandan aur nagin

Uljhe huye khayaal se hein ab har palchin
Itna na sataya karo baat hai ab sangin

Saans chalti hai har pal jiya na jaye tum bin
Rukhsat hoti hai intezaar mein har sham rangeen

~ fiza

Monday, September 17, 2012

Kal shaam har shaam jaisee na thi

Kal shaam har shaam jaisee na thi
Nazaron ki shararat kabhi aise na thi

Woh pal sath ke aise kabhi na guzari thi
Mohabbat ki boli thi magar aise na thi

Uski har ada qatilana jaise kisi ki na thi
Meri har nabz per jaise usi ki ravanagi thi

Har saans mein uske jaise mai hi mai thi
Uske har ek ishaare per mai mar-miti thi

Saunp doon khud ko mai deewani jo thi
Ye deewanagi koi jaani pehachani na thi

Kal sham ka suraj dhala magar aag baki thi
Raat to raat magar subha bhi kam jali na thi

Deewanagi ki hadd hai 'fiza' jo anjaan thi
Sambhalte ab na sambhale ye jaan per thi

~ fiza

Tuesday, September 11, 2012

Chalakta uski aankhon se woh lamha


Chalakta uski aankhon se woh lamha
Kaise mein kaid kar laayi yun tanha
Kam lafzon se jo behaka de dariya
Lafzon se nakarta raha woh pagla
Badalon ke gheron sa uska aana
Bin barsaat dubo dena bhigana uska
Dhak-dhak dhadkan hui tez us pal 
Jab soche na samjhe dil ye kyun kumhala
Mein kahin bhi jaaon woh sath hai chala
Jaise kisi khwab ko ratt ke dhorata chala
Ek deewangi ka alam hai chala
Kabhi apne to kabhi apne pagalpan pe hasa
Jo bhi ho humein bhi shayad ye pyaar hua

~ fiza

ज़िन्दगी जीने के लिए है

कल रात बड़ी गहरी गुफ्तगू रही  ज़िन्दगी क्या है? क्या कुछ करना है  देखा जाए तो खाना, मौज करना है  फिर कहाँ कैसे गुमराह हो गए सब  क्या ऐसे ही जी...