Friday, August 24, 2012

Jab seene mein dil ka pata hi na tha


Jab seene mein dil ka pata hi na tha

Tab dil ke dukhne ka gila hi na tha 


Jab dard ka sirf ehasaas hi tha

Behalaane ka andaaz tab nirala hi tha
 

Jab katke jigar se lahoo girta tha

Tab katne ka sabab kaun poochta tha?


Jab dilbar ki tarah sath rehata tha

Tab hasne-muskurane se woh sharmata tha


Jab juda nahi jism se rehata zinda  tha

Tab 'fiza' nibhaye sath fanaa jo hona tha


~ fiza

Tuesday, August 07, 2012

Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar




Mastiyaan athkheliyan saare manjur the magar
Dur rehakar saare jatan sehana nahi is kadar 

Har pal jhalakta hai aankhon ka deedar mujhe
Ehasaas mujhe deta hai pyaar ka rahat magar 

Hijr ke pal jataate hein kitne dur ho tum
Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar  

Duriyan falsafe yaad dilaate hein yun rehakar
Hijr ke mausam mein bhi badal barsate hein aksar 

Chanda dur se dekh barsaaye hai mujh per pyaar
Raat neend mein sulakar din mein takta hai yaar 

Pyaar se bhara gulaabi khat he hai mera sahara
Ke ab beete yaadon mein hai 'fiza' ghumshuda awara 

~ fiza

ज़िन्दगी जीने के लिए है

कल रात बड़ी गहरी गुफ्तगू रही  ज़िन्दगी क्या है? क्या कुछ करना है  देखा जाए तो खाना, मौज करना है  फिर कहाँ कैसे गुमराह हो गए सब  क्या ऐसे ही जी...