Wednesday, January 25, 2012

Kuch ankahi see ansuni see...

Kuch ankahi see ansuni see
Baat hone lagi mere sang
Ek shaks mila mujhe Jise
Meine kaha le chalo mujhe
Badalon ke oos paar chand pe
Ansuni see khawaish hee
Puri karne chala woh dilbar
Ek hulchal see dil mein machi
Kuch ankahe pal bun ne lage
Kuch aur palon ke khawab banker
Dil ki girah mein jakar
Maano dastakh de rahe hon
Kab honge ye poore ansune se
Ankahe se jasbaat jo bhigo dein
Ehasaaon ki barish mein humein 

~fiza

Friday, January 20, 2012

Sukhad ki bauchar abhi baki hai sajna


Zindagi ki sui se bhare rang
Tinke - tinke kar bhare ang
Jeevan ki lakeer khenche
Maano sath liye khun se ang
Til til ka chubhna woh dard sa
Lekin phir sundar chitra ka ban na
Meetha hai iss dukhne ka bhi angna
Kuch dard aur le le sathiya
Sukhad ki bauchar abhi baki hai sajna
~ fiza

ज़िन्दगी जीने के लिए है

कल रात बड़ी गहरी गुफ्तगू रही  ज़िन्दगी क्या है? क्या कुछ करना है  देखा जाए तो खाना, मौज करना है  फिर कहाँ कैसे गुमराह हो गए सब  क्या ऐसे ही जी...